Biddat Ki Haqeeqat: Part-5

# Biddati Houz-e-Kousar Se Bhi Hakaaley Jayenge –

Deen Me Naye Aqaid Ijad Karnewale Jahannum Tou Raseed Honge Hi, Lekin Qayamat Ke Din Inhe Hoze Kausar Se Bhi Hakala Jayega,..

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) Farmatye Hai Ke –
“Kuch Log Qayamat Ke Deen Mere Paas Aatey Honge,.. Houze Kousar Par Mera Meember Laga Hoga Aur Waha Aasman Ke Sitaro Ke Manind Glass Honge,…
Mai Apne Ummatiyon Ko Houze Kousar Ka Paani Pilata Hu,… Jo Ek Baar Paani Piyega Kabhi Pyasa Nahi Hoga ,..
Kuch Log Aayenge Aur Farsihtey Unhe Dhakka Dekar Houje Kausar Se Door Hakalenge!..
Mai Kahunga Ke – “Ye Mere Ummati Hai Farishto Inhe Aane Do!!”
Tou Farishtey Kahenge Ke – “Allah Ke Rasool (ﷺ)! Aapko Maloom Nahi ,.. Inn Logon Ne Aapke Jaane Ke Baad Aapke Deen Me Biddate Ijad Ki ,..”
Tou Rasool’Allah (ﷺ) Kahenge – “Door Le Jao ! Inko Meri Nazro Se Door Kardo ! Mere Jaane Ke Baad Ye Kaam Kiya Mere Deen Me,…
Tou Hakaal Diye Jayenge Houze Kausar Se Aur Jahannum Raseed Kiye Jayenge… Yahi Unka Thikana Hoga,…
– (Sahi Bukhari: Jild:3 Hadith No.1931 Bab: Fitno Ka Bayan)
– English Ref (Sahih Bukhari Volume 009, Book 088, Hadith no. 173 & 174)

* * * * * * * *

# Deen Me Biddat Kar Liye Tou Kya Hua ?

Allah Ta’ala Iss Talluk Se Quraane Kareem Me Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: “Jo Log Rasool’Allah Ki Sunnat Ki Mukhalifat Karte Hai Unhe Darna Chahiye Ke Wo Kisi Fitne Me Tou Mulawwis Na Ho Jaye Aur Kahi Dardnak Azab Tou Nazil Na Ho Jaye”.
– [Surah Noor(24) Ayat(63)]

» Sabaq: Maloom Hua Ke Jo Log Rasool’Allah (ﷺ) Ki Sunnat Ke Khilaf Deen Me Rawayya Ikhtiyar Karenge Wo Yakinan Allah Rabbul Izzat Ki Taraf Se Kisi Fitne Me Mulawwis Kar Diye Jayenge ,..

Tou Ye Humara Kaam Hai Ke – Hum Jo Bhi Neki Karey, Iss Aitbaar Se Karey Ke Wo Allah Ke Nazdeek Kabil-e-Kabul Ho..
Aur Rasool’Allah(ﷺ) Tibrani Ki Riwayat Me Farmatey Hai Ke –
♥ Mafhoom-e-Hadees: Jo Shakhs Biddat Karta Hai Uski Tauba Kabool Nahi Hoti” – (Tibrani)

# Tou Jab Tak Insan Biddat Karta Hai Uski Taubah Kabool Nahi Hoti, Lihaja Agar Apni Taubao Ko Kabuliyat Tak Hum Pohchana Chahte Hai Tou Deen Me Biddato Se Airaz Karey..

Duniya Me Aap Biddat Kijiye Jo Karna Hai! , Ijadad, Inventions, Discoveries Kijiye Jo Karna Hai,
Ha! Lekin Deen Me Koi Ijad Karna Durust Nahi.
* * * * * * * *

# Deen Me Biddat Karnewalo Ka Anjaam:

Aur Deen Me Naye Aqaid Ijad Karnewale Biddatiyo Ke Talluk Se Surah Ghasiya Ki Ayat No. 3 Aur 4 Me Allah Ta’ala Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: Aamilatun Nasiba, Tasla Naran Hamiya” – (Surah Ghasiya Ayat 3-4)
Yaani – Ke Kuch Log Qayamat Ke Roz Tum Dekhoge Ke Amal Kar-Kar Ke Thakey Hue Aayenge, Lekin Hukm Hoga Utha Kar Jahannum Me Fenk Do Inhey”.
* Kyun Ke Wo Amal Rasool’Allah(ﷺ) Ke Tareeke Par Na Hua …

Thakey Tou Honge Amal Kar-Kar Ke Bohot Lekin Yaad Rahe Sunnat-e-Rasool Ki Mukhalifat Ya Rasool’Allah(ﷺ) Ke Deen Me Naye Aqeede Ijad Karna Yeh Tamam Kaam Bohot Sakht Gumraahi Hai,..
Aur Aaj Ye Gumrahiya Humare Zindagi Me Aise Ghar Kar Chuki Hai Ke Jiska Koi Jawab Hi Nahi ,..

# In’sha’Allah-Ul-Azeez! Agle Part Me Hum Deen Me Biddat Ke Nuqsaanat Ka Tazkira Karenge ,..

To Be Continue …

☼ Biddat Ki Haqeeqat All Parts:

1 2 3 4 5 6

Leave a Reply