♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Umama Baahili (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Ki –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Saamne 2 Aadmiyo Ka Charcha(Zikr) Kiya Gaya ,..
Ek Unmey Se Ibadat Karne Wala(Aabid) Tha Aur Dusra Aalim.
*Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
“Ibadat Karne Wale Par Aalim Ki Badhayi Aisi Hai Jaise Ki Meri Badhayi Tumhare Maamuli Aadmi Par.
*Phir Rasool’Allah Ne Farmaya Ki – Logo Ko Bhalayi Sikhane Waley Par Allah Ta’ala Rehmat Naazil Farmata Hai Aur Uskey Farishte Aur Zameen Aur Aasman Me Rehne Wale Yaha Tak Ki Chitiya(Aunt) Apni Bilo Me Aur Machliya (Fish) Paani Me Uskey Liye Bhalayi Ki Dua Karti Hai”.
– (Tirmizi Sharif)
Amr Bil Maroof Wa Nahi Anil Munkar