Kisi Se Maangna Apne Mooh Par Zakhm Lagane Ke Barabar ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abdullah Ibn Masud (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya-
‘Jo Shakhs Maaldar Honey Ki Halat Me Bhi Sawaal Kare (Maange) Tou Wo Qayamat Ke Din Iss Tarah Aayega Ki Uska Mooh Kharocha Hua Ya Kata Ya Phata Hoga’.
Sahaba-e-Kiram Ne Pucha – ‘Insan Kitne Maal Se Maaldar Kehlata Hai?’
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – ’50 Dirham Ya Uski Qeemat Ka Sona (Rakhne Wala)’.
(Sunan Abu Dawud, Vol-1, 1613-Sahih : @[156344474474186:])
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Samurah Bin Jundub (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya-
“Kisi Se Kuch Maangna Apne Mooh Par Zakhm Lagane Ke Barabar Hai, Ab Jo Chahe Apne Mooh (Chehre) Ko Sahi Rakhe Aur Jo Chahe Aisa Hi Chhodh De, Haan! Uss Shakhs Ke Liye Maangna Jayaz Hai Jo Behad Majbur Ho Ya Jo Haakim-e-Waqt Se Mangta Ho’.
(Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1626-Sahih)

Leave a Reply