♥ Behtarin Dost Woh Hai Jiska Dekhna Tumhe Allah Ki Yaad Dila De,
Jiski Guftagu Ilm Me Ezafa Kare, Aur Jiska Har Amaal Aakhirat Ki Yaad Dilaye
♥ Qaul-e-Mubarak: Matlabi Dost Koyle Jaisa Hota Hai, Jab Koyla Garam Hota Hai Tou
Hath Jala Deta Hai Aur Jab Thanda Hota Hai Tou Hath Kaale Ker Deta Hai.
– Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu)
♥ Qaul-e-Mubarak: Sab Se Zyada Kamzor Aadmi Wo Hai, Jo Dost Ko Hasil Kerne Me Nakaam Ho.
Aur Uss Se Bhi Zyada Kamzor Wo Hai Jo Hath Aaye Dost Ko Ganwa De..!!
– Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu)
♥ Qaul-e-Mubarak: Dost Ki Dosti Tumhen Ye Ikhtiyar Nahin Deti Ke,
Tum Apne Doston Ko Burey Lafzon (Alqaab)Se Bulaao Ya Yaad Karo.
– Hazrate Jalaluddin Roomi(RaziAllahu Anhu)