Behtareen Sadqa Ilm Haasil Karna

✦ Ilm Ki Ahmiyat aur Fazilat:

1). Hadith: Abu Umama (RaziAllahu Anhu) riwayat karte hai ke, Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Logo! Ilm ke wapas liye jane aur utha liye jane se pehle ilm hasil karlo.”

Musnade Ahmad

2). Hadith: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) riwayat karte hai ke, Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Behtareen Sadqa yeh hai ki “Musalman aadmi ilm haasil kare phir apne Musalman bhai ko sikhaaye.

Ibn-e-Majah J:1 Safa:158 Hadees 243


✦ Ilm-e-Ilahi me Ta’assur:

1). Quran me hi ek jagah irshad hai ke Allah Ta’ala ne behtareen kitaab yaani Quraan-e-Kareem nazil farmaya hai:

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Wo Qalam aesi kitab hai jiske mazamin baham ek dusre se milte julte hai, uski baate barbar dohrai gai hai, jo log apne Rab se darte hai unke badan iss kitab ko sunkar kaanp uthte hai. fir unke jism aur unke dil narm ho kar Allah Ta’ala ki yaad ki taraf mutavajjah hote hai.

Al-Quraan: Surah Zumar 39:23


2). Hadith: Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
Roza aur Quraan Sharif dono Qayamat ke din Bande ke liye Shafa’at karenge. Roza arz karega “Aye mere Rab ! Maine isko khane aur nafsani khawahishat puri karne se roke rakha. meri Shafa’at uske bare me Qubul farma.’

Quraan-e-Kareem kahega, ‘Maine ise raat ko sone se roka (ke ye raat ko nawafil me meri tilavat karta tha) meri Shafa’at iske bare me qabool farma.’ Chunache dono uske liye shifarish karenge.”

Musnade Ahmed,
? Tabrani,
? Majma al-Zawa’id

Allah Ham Sab Ko Sahee Ilm Hasil Karne Aur Quraan-e-Kareem Ke Tilawat Ki Taufeeq Ataa Farmaye. Ameen

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: