Baith kar Namaz ada karne se sawab me kami ki jati hai

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah bin Amr (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se kaha ki (Aapne farmaya tha)
“Baith kar Namaz padhna aadhi Namaz ke barabar hai aur Aap baith kar namaz padh rahe hain”
tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya,
“Haan! ye sach hai lekin main Aap logo ki tarah nahi hu (yaani mujhe pura hi sawab milta hai)”
– (Sahih Muslim, Vol 2, Hadith No. 1715)

#Takhreej: Baith kar Namaz ada karne se sawab mein kami ki jati hai, lihaja humare liye bagair uzr baith kar namaz ada karna afzal nahi,

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: