♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira Se Mairvi Hai Ki –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne
“Bagair Kuch Khaye Piye Roze Se Roze Milakar Rakhne Se Mana Farmaya”
*Tou Ek Sahaba ne Arz Kiya Ki – “Ya Rasool’Allah! Aap Tou Issi Tarah Roze Rakhte Hai”
*Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Tum Me Mere Jaisa Koun Hai?, Main Tou Iss Haal Me Raat Gujarta Hu Ki
Mera Rab Mujhe Khilata Pilata Hai”.
– (Bukhari Jild-1 Safa-263, Muslim Jild 1, Safa-351)
*Ek Aur Riwayat Me Hai Ke –
♥ Mafhoom-e-Hadees: Aaqa-e-Do Jaha Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
Wisaal (Wisaal Ye Hai Ke Iftaar Ke Waqt Kuch Khaye Piye Bagair Musalsal Roze Rakh Ne) Se Bacho..!!
*Logon Ne Arz Kiya – “Aap Bhi Tou Wisaal Karte Hai”,
*Aap Ne Farmaya – “Mujhe Tou Mera Rabb Khila-Pilaa Deta Hai, Itni Takleef Uthao Jitni Taqat Hai”
– (Sahi Bukhari Hadith no.1844)