Baap (Waalid Sahab) Ka Martaba

Aap sabhi ne maa ki shaan me bohot hi azeem baate suni hongi lekin baap (waalid) ke baarey me shayad zyada baatey aam nahi.

Islam me Baap ka Martaba

∗ Baap ka Ehtiraam karo taake tumhari Aulad tumhara ehtram kare.

∗ Baap ki izzat karo taake iss se faida utha sako.

∗ Baap ka hukm mano taake khush haal reh sako.

∗ Baap ki sakhti bardash karo taake kaabil ban sako.

∗ Baap ki baate gour se suno take dusro ki na sunni pare.

∗ Baap ke samne uncha mat bolo warna allah tum ko nicha kar dega.

∗ Baap ke samne nazare jhuka kar rakho take allah tum ko duniya me buland kare.

∗ Baap ek kitaab hai jis par tajruba likha jata hai.

∗ Baap ke aansu tumhare samne na gire warna allah tum ko jannat se gira dega.

∗ Baap ek muqaddas muhafiz hai jo puri zindagi khandan ki hifazat karta hai.

Khush Nasib hain wo log jinke Maa-Baap Zinda hain! wo khidmat karke Allah Ta’ala ke yahan apna martaba bada len aur jinke Maa-Baap fauth ho chuke hain wo unki taraf se Sadqaat karen, khairaat karen aur unke liye duayen karen!

Allah Rabbul Izzat aage unke darjaat bulandh farmayen aur hume iss Shariat ke masle me sahi samjh ata farmayen. !!!!! ameen !!!!!

Pepole also search as:

Leave a Reply