♥ Mafhoom-e-Hadees: Ibn Abbas (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) raat ko ALLAH se ye dua kiya karte they:
Aye ALLAH ! tere hi liye taarif hai , tu aasman aur zameen ka RAB hai, aur tere hi liye hamd hai,
tu aasman aur zameen ka Qayam karne wala hai aur un sabka jo kuch usmein hai.
Tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka noor hai, tera Qaul sachcha hai aur tera wada sachcha hai aur teri mulaqat sachchi hai aur jannat sach hai , dozakh sach hai aur Qayamat bhi sach hai ,
Aye ALLAH ! mainey tere hi samne sir jhuka diya aur tujh par imaan laya
Mainey teri hi upar bharosa kiya aur teri hi taraf ruju kiya,
mainey teri hi madad ke saath muqabla kiya aur main tujh hi se insaf ka talabgar hu ,
tu meri magfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hu aur jo baad mein mujhse hone wale hain ,
jo (gunah) mainey chup kar kiye aur jo khule aam kiye ( wo muaf farma), Tu hi mera maabud hai tere siwa aur koi ibadat ke layaq nahi ,..
– Sahih Bukhari, Jild 8, 7385
♥ Ameen Summa Ameen!
Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada Amal ki Taufik dey,.. Ameen!!!