Aulaad ki Tarbiyat – Part 2

Aulaad ki Tarbiyat – Part 2

Aulaad ki Tarbiyat kaise kare ?

Ab aulaad ki tarbiyat kaise karey , kya iske liye usool apnaye , kounse nuqaat (points) ko dhyan me rakhey? in’sha’allah chand nuqaat aapke samne hum rakhne ki koshish karenge. inme kuch baate hum asi bhi rakhenge jispar aapko tajjub bhi ho sakta hai ke is cheez ka Aulaad ki tarbiyat se kya rishta, tou aayiye ispar gour karte hai.

Ek Shakhs they! wo ek Aalim ke paas gaye aur kaha: “Mai Apni Aulad ki Tarbiyat ke talluk se bada Pareshan hu”

Uss Aalim ne pucha: “kya Umar hai Aapke Bacche ki ?”, Uss Shakhs ne kaha : “4 ya 5 Mahine”

Tou wo Aalim kehte hai ke: “Uski Tarbiyat ka Waqt tou chala gaya…” Wo Shakhs pareshan ho gaya ke 4 ya 5 mahine ke Bacche ki Tarbiyat ka wakt aise kaise chala gaya.

Tou uss Aalim ne jawab diya aur kaha: Aulad ki tarbiyat me sabse pehla nukta ye hai ke uske liye acchi maa chunkar laya jaye” Subhan’Allah !

Beshaq Aulad ki Tarbiyat me Maa ka Aham Qirdaar hai, lihaja uske liye Sahih Maa ka Intekhab karna Tarbiyat ka sabse pehla aur Aham Marhala hai.

A) Tarbiyat ka 1st Marhala

› Nek aur Deendar Maa ka Intekhab:

Umar bin khattab (RaziAllahu Anhu) ke paas ek Shaksh laya gaya , jiske Walid ne usey Ghasit kar laya aur kaha ke “Aye Ameer-ul-mominin ! mera ye beta meri baat hi nahi sunta.”

Pucha gaya ke kyu baat nahi suntey apne waalid ki ?..  tou us Ladke ne kaha ke – “Aye Ameer-ul-Mominin ! pehle Mai Aapse ek Sawal karta hu ke “Aulaad ke Haq kya hai?”

Usey bataya gaya ke: “Aulaad ke liye sabse pehla Haq ye hai ke uskey liye sabse Acchi Maa ka intekhab kiya jaye.”

tou ye sabse Aham cheez hai Aulaad ki Tarbiyat me uske liye acchi Maa ka intkhab kare aur zahir si baat hai ke jo insan apne liye Acchi Biwi talab karega fir wo bhi tou uska Mustahik hoga yaani Nek aur Deendar Sifat ka Haamil hoga.

Lihaja jo log chahtey hai ke unki Aanewali Naslo ki Tarbiyat Kitabo Sunnat ke mutabik ho tou Nikaah se pehle hi Ghar ke Zimmedar apni Beti ke liye accha Shohar, bete ke liye Acchi Biwi ya khud shakhs apne liye acchi Biwi ka Intekhab karey aur acchi se muraad Deendari hai.

Iske taaluk se Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai:

“Aurto se Nikah 4 chezo ki buniyad par kiye jate hai, lekin tum Deendari ko thaam lo.”

Bukhari: jild 3, Safa 59

Yaani Deendar Aurat se Nikaah karke Duniya aur Aakhirat ki kamiyabi hasil karlo aur acchi Nek Sifat Deendar Aurat ko hasil karne ke talluk se Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai :

“Ye Duniya tamam ki tamam khair ki cheez hai, kamane ki cheez hai aur usme sabse khair jo cheez hai wo hai Nek Aurat (Biwi)”

Sahih Muslim

Tou apne liye Nek Biwi aur apni Aulaad ke liye Nek Maa ka intekhab ye bohot hi Aham cheez hai. ye apne hone wali Aulaad ki Tarbiyat ka sabse pehla aur Aham Marhala hai.

♥ In sha Allah ul Azeez ! Allah Ta’ala hume kehne Sun’ne se jyada Amal ki taufik dey ..

To be Continue …

Leave a Reply