# Qayamat Ki Nishaniya: Arz-e-Hijaaz Se Aag Ka Roshan Hona «
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Mairvi Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Qayamat Qayem Hone Se Pehle Ek Aag Niklege Jis Se
Basra (Shaam Ka Shaher Khawaraan) Me Oonton(Camel) Ki Gardane Roshan Ho Jayen Gi”.
– (Sahih Bukhari Kitab Ul Fitan Baab Khurooj Al Naar 7118)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Zar (RaziAllahu Anhu) Se Marvi Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Kash Mujhe Ilm Ho Ke Yaman Ke ‘Jabal Al Wiraaq’ Se Aag Kab Niklegi Jis Se Basra Me
Onton(Camel) Ki Gardane Iss Tarah Roshan Ho Jayegi Jis Tarah Din Ki Roshni Me Ho”.
– (Masnad Ahmad 189)
# Note: Arz-e-Hijaz Se Aag Ka Zahir Hona Qayamat Ki Nishani Hai.
654 Hijri Me Yeh Nishani Zahir Ho Chuki Hai.
– Imaam Navavi (RaziAllahu Anhu) Farmate Hai Ke:
– Hamare Zamane Me Madina Ke Mashraqi Janib Hara Ke Peche Se Ek Bohat Bari Aag Roshan Hui Thi.
– Mulk Shaam Aur Doosre Mulkon Ke Logon Ko Matwatar Iss Ka Ilm Hai. Sharah Navavi
– (Al Muslim 28/18)