♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Beshaq! Tum Roze Qayamat Apne Naamo Aur Apne Baapo Ke Naamo Se Pukare Jaoge
Tou Apne(Baccho Ke) Naam Ache Rakha Karo..”
– (Imaam Ahmed, Abu Dawood, Jild 3, Bab 485, Hadees 1513, Safa 550)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aadat-e-Kareema Thi Ki,
Aap Burey Naam Badal Diya Karte They.
– (Tirmizi, Jild, Safa 301, Abu Dawood, Jild 3, Hadees 1517, Safa 551)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibne Umar (Razi’Allaho Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Allah Ta’ala Ko Tamaam Naamo Me Se Abdullah Aur Abdurrahman Subse Jyada Pasand Hai”.
– (Abu Dawood, Jild 3, Bab 485, Hadees 1513, Safa 550)