♥ Mafhoom-e-Hadees: Huzaifa (RaziAllahu Anhu) Se Marvi Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Momin Ke Liye Munaseeb Nahi Ke Wo Apne Aapko Zaleel-O-Khuwar Kare”
*Sahaba (RaziAllahu Anhu) Ne Arz Kiya Ke –
“Apne Aapko Zaleel-O-Khuwar Kis Tarah Kiya Ja Sakta Hai ?”
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Aesi Balaayen (Kaam) Apne Sir Le Ley Jiski Wo Taaqat Nahi Rakhta”.
– (Tirmizi Sharif)
• Sabaq: Lihaja Insan Uss Kaam Ki Jimmedari Na Le Jo Wo Nahi Kar Sakta,
Agar Aisa Na Kiya Tou Log Uske Na-Kabilyat Par Usey Taana Denge,
Aur Woh Khud Hee Apni Barbaadi Ka Zimmewar Ho Jayega ,..