♥ Mafhoom-e-Hadees: Farman-e-Nabi Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke –
“Meri Ummat Par Woh Zamana Jald Ayega Ki Woh 5 Se Mohabbat Rakhenge Aur 5 Ko Bhool Jayenge”
∗ 1. Duniya Se Mohabbat Rakhenge, Aur Aakhirat Ko Bhool Jayenge..
∗ 2. Maal Se Mohabbat Rakhenge, Aur Muha’saba Ko Bhool Jayenge..
∗ 3. Makhlooq Se Mohabbat Rakhenge, Aur Khaliq Ko Bhool Jayenge..
∗ 4. Gunaaho Se Mohabbat Rakhenge, Aur Taubah Ko Bhool Jayenge..
∗ 5. Mahallaat Se Mohabbat Rakhenge, Aur Qabristan Ko Bhool Jayenge..
– (Mukashfatul Quloob)
Related Posts:
Jo log Allah Ke liye Apas me Mohabbat rakhte hain ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ke, Allah Ta'ala irshaad farmata hai: "Jo log meri Azmat aur Jalaal ki wajeh se Aapas me Mohabbat rakhte hain, Qayamat ke din unke liye Aise Noor ke Meember honge jin par Ambiya aur Shuhada bhi Rashk karenge." - (Jame Tirmizi, 2390) ♥ Subhan'Allah!!! Allah Rabbul Izzat hume kehne sun'ne se Jyada amal ki Taufik dey.. Ameen !!! ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (ﷺ) ने फ़रमाया के, अल्लाह तआला इरशाद फरमाता है, "जो लोग मेरी अजमत और जलाल की वजह से आपस में मोहब्बत रखते है, क़यामत के दिन उनके लिए ऐसे नूर के मिम्बर होंगे…
Momeen Dozakh aur Jannat ke darmiyan rok liye jayenge Jabtak… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Saeed khudri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega aur phir ek dusre par kiye gaye zulmo ka badla liya jayega jo duniya mein unke darmiyan huye they , jab sab kuch saaf aur paak ho jayega (yaani sabko badla mil jayega) uske baad unhe jannat me dakhil hone ki ejazat milegi,. Uss Zaat ki Qasam jiske haath me Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki jaan hai jannaatiyo mein se har koi…
♥ Mohabbat Ki Haqeeqat Lafz-e-Mohabbat Hum Apni Zindagi Anginat martaba Sun'te Rehte hai , Jabki Iske Haqiki Maane Aur Mafhoom se Hum Bekhabar hai, Tou Lihaja Is Post Ke Waseele Se Aayiye Ek Misal Ke Tehat Ye Wajeh Kar Dete Hai Ke Aakhir me "♥ Hai Kya Ye Mohabbat ?…" *Yaad Rahe Ke Mohabbat Kisi Cheez Ka Sirf Naam Nahi Balki Mohabbat Ka Matlab Hota Hai "Ita-at ,.." Maslan: Agar Mai Aapse Ye Kahu Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu! Tou Kya Tasawwur Karoge Aap Mere Baare Me ? - Ke Shayad Walidain ki Khidmat Karta Ho, Raato Me Uthkar Pair Dabata…
Shok Ki Muddat .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Kisi ImanWale Ke Liye Halaal Nahi Ke (3) Teen Din Se Jiyadah Shok (Ghum) Kare, Sirf Bewa Aurat Ke Siva, Ke Uske Shok (Ghum) Ki Muddat Char (4) Mahine Das (10) Din Hai,.." - (Bukhari Sharif, Tirmizi Sharif, Tohfa-e-Najat Part-11 Page-49) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Jo Mooh Par Tamache Marey, Kapdey Fadey, Aur Jaahil Logo Ki Tarah Chilla Kar Roye Wo Hum Me Se Nahi.." - (Bukhari Sharif, Muslim Sharif, Tohfa-e-Najat Part-11 Page-50)
Aurat ke liye Wafat ke Sog ki Muddat ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: “Ek Musalman aurat jo Allah Ta”ala aur Aakhirat ke din par Iman rakhti ho. Uss ke liye jayez nahi ke woh kisi (ki wafat) ka sog teen (3) din se zyada manaye siwaye apne Shauhar ( husband ) ke uss ke liye chaar maheene dus din hai.” – (Sahih al Bukhari; Hadith no. 5339) ♥ मफहूम-ए-हदीस: नबी ऐ करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "एक मुसलमान औरत जो अल्लाह तआला और आखिरत के दिन पर इमां रखती हो, उस के लिए जायज़ नहीं के वोह किसी (की वफात) का सोग तीन…
Kisi ka Samaan Uthaane me Madad karna bhi Sadqa hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, “Kisi shakhs ka samaan uthaane mein madad kar dena bhi sadqa hai” – (Bukhari; 2989) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, “किसी का सामान उठाने में मदद कर देना भी सदका है” – (बुखारी; 2989) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Jis se Log Bhalai Ki Umeed Na Rakh Paye wo Sabse Badtareen… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Tum me Bad Tareen Shaksh wo hai, Jis se Log Bhalai Ki Umeed Na Karey aur us ke Sharr se Mehfooz na ho" - (Tirmizi, 2263) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अबू हुरैराह (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "तुम में बद्तरीन शख्स वो है, जिस से लोग भलाई की उम्मीद न करे और उस के शर्र्र से महफूज़ न हो" - (तिरमिज़ी, 2263) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Momin Ka Sab se Bhaari Aamal Husn Akhlaq ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai: “Qayamat Ke Din Jab Tarazu Me Amaal Toley Jayenge Tou (Momin Ka) Sab Se Bhari Aamal Husn Akhlaq Hoga.” - (Ibn Haban, 876) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी ऐ करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है: "क़यामत के दिन जब तराजू में अमाल तोले जायेंगे तो (मोमिन का) सब से भारी अमल हुस्ने अख्लाख होगा." - (इब्ने हब्बान, 876) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Sadqa wa Khairat Museebat ke Sattar (70) darwaze band karta… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai ke, “Sadqa wa Khairat Museebat ke sattar (70) darwaze band kar deta hai” – (Tabrani Kabir, 6724) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है के, “सदका व खैरात मुसीबत के सत्तर (70) दरवाज़े बंद कर देता है” – (तबरानी कबीर, ६७२४) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao, Na Nuqsaan Pahunchane Ka… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasoo (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya; " Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao, Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano." - (Musnad Ahmad, 2865) ♥ हदीस-ऐ-नबवी ﷺ: अल्लाह के रसूल (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "ना किसी को नुकसान पोह्चाओ, न नुकसान पोहचाने का जरिया बनो" - (मुसनदे अहमद, 2865) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Insan me paayi jaane waali sab se buri Aadatein ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai, “Insan me paayi jaane waali sab se buri Aadatein intihaai darje ka Laalach aur Buzdili hai” – (Abu Dawud; 2511) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है, “इन्सान में पायी जाने वाली सबसे बुरी आदतें इन्तिहाई दर्जे का लालच और बुजदिली है” – (अबू दावूद; 2511) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Maaldaar ki taraf se Qarz ke Ada Karne me deri na kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Maaldaar Ki Taraf Se Qarz Ke Ada Karne me Deri Karna Zulm aur Zyadati Hai.” - (Sahih Al-Bukhari, 2400) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अबू हुरैरा (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फरमाया, “मालदार की तरफ से क़र्ज़ अदा करने में देरी करना ज़ुल्म और ज्यादती है” - (सही अल-बुखारी, 2400) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Halal Cheezo me Allah ko Sabse Napasan'dida Cheez Talaaq Hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Karim (ﷺ) Ne Faramaya, "Saari Halaal Cheezo Me Allah Ta'ala Ke Nazdiq Sabse Napasan'dida Cheez Talaaq (Divorce) Hai." - (Sunan Ibn Majah, Arabic Ref.2096) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अब्दुल्लाह बिन उमर (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम(ﷺ) ने फ़रमाया, "सारी हलाल चीजों में अल्लाह तआला के नजदीक सबसे नापसंदिदा चीज़ तलाक है." - (सुनन इब्न माजाह, अरबी सनद.2096) ♥ Hadith: It was narrated from 'Abdullah bin 'Umar that, the Messenger of Allah(ﷺ) said: "The most hated of permissible things to Allah is divorce. " - (Sunan Ibn Majah, English Ref.2018) For…
Pait Ke Bal Mat Leta Karo, Allah Ta'ala Isko Pasand Nahi… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) Ne Farmaya: "Pait (Stomach) Ke Bal Mat Leta Karo, Allah Ta'ala Isko Pasand Nahi Farmata" - (Tirmizi Sharif) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने फ़रमाया: "पेट (Stomach) के बल मत लेटा करो, अल्लाह तआला इसको पसंद नहीं फरमाता" - (तिरमिज़ी शरीफ) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Wo Baat Sun'ne wale ke paas Amanat hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jabir bin Abdullah (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Jab Aadmi koi baat batatey waqt idhar udhar dekhe, tou wo baat Sun'ne wale ke paas (Raaz aur) Amanat hai" - (Abu Dawood, 4868) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस ﷺ : जाबिर (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "जब आदमी कोई बात बताते वक्त इधर उधर देखे, तो वो बात सुनने वाले के पास (राज और) अमानत है" - (अबू दावुद, 4868) For more Islamic messages kindly download our Mobile App