Zamane ko Bura Na Kaho, Zamana Allah Hai

✦ Hadees: Zamana Allah hai.

Bohot Saare log Kehte Hain ke Bura Zamaana Agaya hai , Jabki har Zamana toh Allah hi ka Zamana hai. Tou kya Zamane ko bura kehna durust hai ? Aayein Qurano Sunnat ki Roshni se Wazahat karte hai.

Zamane Jaheliyat me Jab Mushreekeen Arab ko koi Dukh , Ghum , Shidat Wa Bala pohnchti toh Woh kehte (Haye Zamane ki Barbadi) Woh in Afaal ko Zamane ki taraf Mansoob karte aur Zamane ko bura bhala kehte aur Gaaliyan dete haalan ke in Afaak ka khaaliq toh Allah hi hai , toh Goyaa Naoozbillah wo Allah ko Gaali diya karte they.

✦ Hazrat Abu Hurera (R.A) se marwi hai ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke: Allah Taa’lah farmata hai:  Ibn-e-Adam Mujhe Aziyat deta hai , Zamane ko Gaaliyan Deta hai aur Mai (Sahib) Zamana Hun. Mere Hath me Muamlaat Hain, Mai hi Din aur raat ko Badalata Hun.

📕 Bukhari > Kitab Al Tafseer > Surah Jasiya (4826) ,
📕 Muslim (2246) Baab Al Nahi An Sabul Dahar,
📕 Musnad-e-Humaidi 468/2 (1096) ,
📕 Musnad Ahmed 1238 /2 ,
📕 Abu Dawood > Kitab ul Adab 5274)

✦ Abu Hurera (R.A) se marwi hai ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke: Haaye Zamanay ki Barbadi ‘ Hargiz Koi na kahe ‘ Beshak Allah he Zamanay wala hai.

📕 Musnad Abu Yaala 452 /10 (6066)

Lihaza Zamane ko bura kehna jaisa ke Awam Al Naas me Raayej hai ke “Zamana bura Aagaya hai, kya bura waqt aagaya hai , Waqt ka Satyanaas wagera…”

Darasal aisa kehna Naoozbillah Allah ko bura kehna hai, kyun ke Saara Nizaam Aalim Allah Wahdahu La Shareek ke Qabze Qudrat me hai , Wohi paida karne wala aur wahi maarne wala hai, wohi Mudbar Al Amoor hai.

Wohi Muntazim aur sab ki Bigdi banane wala Ganj Bakhsh, Gous-e-Azam, Daata , Faiz Bakhsh aur Dastageer hai. yeh Sab Allah ke Naamo Sifaat hai, in Naamon ko kisi insan ki taraf mansub karna gumarhi hai. lihaja Awam ko chahiye ke suni sunayi bato par yakin karne se behtar hai Qurano Sunnat se ilm hasil kare. aur Ulema-e-Haq ki sohbat ikhteyar kare.

Yeh bhi Dekhe:

99 Names Of Allah (Subhanahu Wa Ta’ala) With English Meanings

Allah Rabbul Izzat hume kehne sunne se Jyada Amal ki Taufiq de.. Ameen

Leave a Reply