Taqwa aur iski Ahmiyat

♥ Bismillah Hirrahman Nirrahim ♥

“Inna Akramakum ‘IndAllahi Atqakum”

“Beshaq Allah ke Nazdik ikram wala wohi hai jo Allah ka Darr(Taqwa) rakhta ho”

(Al Quran, Surah Huzrat 49:13)

Allah Rabbul Izzat ne Baar-Baar is Paigaam ko Dohraaya: “Aye wo logo jo Imaan laye ho Taqwa ikhiyar karo” aur ye Aayat Quraan me baar–baar repeat hui hai.

Tou gour karne wali baat hai ke Taqwa yaani “Allah ka Darr” jo ki bohot hi ahmiyat wali baat hai jiska paigam hume diya gaya.

Kyunki Allah ka Darr jab insan me aa jata hai tou Insan Haram aur Halal ki tamiz karne lagta hai, Deeno Shariyat aur Duniyawi fizul kaamo me fark karne lagta hai. Duniya par Aakhirat ko tarji deney lagta hai. Dhokeybazi , Jhuth aur tamam burai khaslato se ahtiyat karta hai.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Taala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal ki Taufiq Dey ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply