Aaj ki Hadees | Hadees in Roman Urdu

19 April 2024

Hadees : Har acchi baat sikhana aur har buri baat se rokna Sadqa hai

Hadees of the Day

Har acchi baat sikhana aur har buri baat se rokna Sadqa hai

Abu Dharr (R.A) se riwayat hai ki
kuch (Gareeb) Sahabi Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas aaye aur arz kiya:

“Ya RasoolAllah (ﷺ) ! maal wale sara sawab kama kar le gaye! isliye ki wo Namaz padhte hai jaisa ki hum namaz padhte hai aur Roza rakhte hai jaisa ki hum roza rakhte hai aur apne zyada maalo se Sadqa bhi detey hai.

Tou aap (ﷺ) ne farmaya:

Tumhare liye bhi tou Allah Subhanahu Ta’ala ne sadqe ka samaan kar diya hai.
Har Tasbeeh (Subhanallah kahna) Sadqa hai,
Aur har Takbir (Allahu Akbar kahna) Sadqa hai,
Aur har Tahmeed (Alahmdulillah kahna) Sadqa hai,
Aur har Tahleel (La ilaha illallah kahna) Sadqa hai,
Aur har Acchi Baat Sikhana Sadqa hai,
Aur har Buri Baat se Rokna Sadqa hai,
Aur har Shakhs ke badan ke tukde me Sadqa hai.
(Yaani Apni Biwi/Shohar se Sohbat karna bhi Sadqa hai)

Logon ne arz kiya: Ya RasoolAllah (ﷺ)! hum me se koi shakhs apne badan se apni shahwat nikalta hai (yaani apni Biwi se Sohbat karta hai) to kya usmey bhi Sawab hai.

Tou Aap (ﷺ) ne farmaya: Kyu nahi (yaani haan), agar wo Haraam me sarf karta tou uss se wabal (Gunaah) hota ki nahi ?,.  isi tarah jab Halaal me sarf karta hai tou Sawaab hota hai.

📕 Sahih Muslim, Vol 3, Hadith 2329


हर अच्छी बात सीखना और हर बुरी बात से रोकना सदका है।

अबू हरैराह (र.) से रिवायत है की, कुछ (गरीब) सहाबी रजि० रसूलअल्लाह (ﷺ) के पास आए और अर्ज़ कीया:
“या रसूलअल्लाह (ﷺ)! माल वाले सारा सवाब कमा कर ले गए! इसलिए की वो नमाज़ पढ़ते है जैसा की हम नमाज़ पढ़ते है और रोज़ा रखते है जैसा हम रोज़ा रखते है और अपने ज़्यादा मालों से सदका भी देते है।

तो आप (ﷺ) ने फरमाया: तुम्हारे लिए भी तो अल्लाह सुभानहु तआला ने सदके का सामान कर दिया है।

* हर तसबीह (सुभानअल्लाह कहना) सदका है ।

और हर तकबीर (अल्लाहु अकबर कहना) सदका है ।

और हर तहमीद (अलहम्दुलिल्लाह कहना) सदका है ।

और हर तहलील (ला इलाहा इल्लल्लाह कहना) सदका है ।

और हर अच्छी बात सीखना सदका है ।

और हर बुरी बात से रोकना सदका है ।

और हर शख्स के बदन के टुकड़े मे सदका है (यानि अपनी बीवी/शोहर से सोहबत करना भी सदका है)।

लोगों ने अर्ज़ किया: या रसूलअल्लाह (ﷺ)! हम मे से कोई शख्स अपने बदन से अपनी शहवत निकालता है (यानि अपनी बीवी से सोहबत करता है) तो क्या उसमे भी सवाब है, तो आप (ﷺ) ने फरमाया: क्यू नहीं (यानि हाँ), अगर वो हराम मे सर्फ करता तो उसे से वबाल (गुनाह) होता की नहीं ? इसी तरह जब हलाल मे सर्फ करता तो सवाब होता है ।

📕 सहिह मुस्लिम, हदिस 2329

Aaj ki Hadees section me ab Rozana Hadees jaane Sahih Dalaeel ke Sath Roman Urdu mein, Aaj ki Hadees | Hadees of the Day in Roman Urdu, Get Daily Hadees of the Day updates in Roman Urdu, Daily Beautiful Hadees of the day in the light of Authentic Sources | Daily Hadees notification, Hadees of the Day

और देखे :