Aaj ki Hadees | Hadees in Roman Urdu

19 April 2024

Hadees : Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya?

Hadees of the Day

Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya?

Abu Barza (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne irshaad farmaya –

‟Qayamat ke Din insan ke dono qadam uss waqt tak (Hisaab ki Jagah se) nahi hatt sakte, jab tak uss se in paanch cheezon ke baarey me na puch liya jaaye.

(1) Apni Umr kis kaam me Kharch ki ?,
(2) Apne Ilm par kya amal kiya ?,
(3) Maal kaha se kamaya ?,
(4) aur Kahan kharch kiya ?,
(5) Apni Jismani Quwwat kis kaam me lagayi ?

📕 Jami at-Tirmidhi 2417

Aaj ki Hadees section me ab Rozana Hadees jaane Sahih Dalaeel ke Sath Roman Urdu mein, Aaj ki Hadees | Hadees of the Day in Roman Urdu, Get Daily Hadees of the Day updates in Roman Urdu, Daily Beautiful Hadees of the day in the light of Authentic Sources | Daily Hadees notification, Hadees of the Day

और देखे :