Rehmat ke Farishte, Kutta ya Tasweer ki Wajah se nahi aate

Hadees of the Day

Rehmat ke Farishte, Kutta ya Tasweer ki Wajah se nahi aate

Abu Talha (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

❝ Farishte us Ghar me dakhil nahi hote jaha Kutta aur (Jandar ki) tasweer ho.❞

📕 Sahih al-Bukhari 5949 & 3322
📕 Sahih Muslim 2106 a
📕 Sunan an-Nasa’i 4276 & 4282


WAJAHAT:

Jis ghar me Kutta (Dog) ya kisi jaandaar ki tasveer ho waha Rehmat ke Farishte dakhil nahi hote, isliye inhe Ghar ke andar rakhna munasib nahi. Agarche kisi ne apne Ghar ki security ke liye Kutta paala ho to usey chahiye ke kutte ko ghar ke bahar hi rakhe, Ghar ke andar na laaye.

Isi tarah agar koi apne Ghar me Taswwer bhi lagana chahta ho to jandar ki tasweer lagane se parhez kare, albatta Jhaad, pahad, jharna, phool jaise sceneries ki tasweer laga sakte hai.

lekin dekha jata hai bohut se hazraat apne Baccho ki, khud ki, Janwar ya Parinde ki jaise Ghoda (horse), chidiya wagerah ya fir apne kisi pasandida celebrities ki tasweer laga lete hain.

Yaad rakhiye Aahadees ke mutabiq ye bilkul bhi haram hai, isi tarah baccho ko bhi aise kapde pahnane se aehtiyat karna chahiye jis par kisi jaandaar ki tasweer bani ho.

Allah Ta’ala hum sabko kehne sun’ne se jyada amal ki taufiq de. Aameen.

Leave a Reply