Chipakar Sadqa karne ki Fazilat …

Chipakar Sadqa karne ki Fazilat

Jo Banda Chipakar Sadqa Karta Hai Wo Qayamat Ke Din Allah Ke Saye me Hoga

HADITH

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Jo shaks itne khufiya taur par sadqa karta hai ke
us ke ulte haath ko bhi pata nahi chalta ke
us ke seedhe haath ne kya diya hai (to wo
Qayamat ke din Allah Ta’ala ke saye me hoga).”

[ Sahih Bukhari 1423 ]


AL-QURAN

Allah Ta’ala Qur’an me farmata hain:

“Agar tum Sadqe Khairaat ko Zahir karo to
wo bhi accha hai
aur agar tum usey poshida (chupa kar)
miskino ko de do to
ye tumhare haqq me behtar hai..”

[ SURAH BAQARAH 2:271 ]

Leave a Reply