Ramadan ke Baad in 5 Chizou ko Kabhi Na Chorey

Ramadan ke Baad kya kare ?

Ramadan ke Baad in 5 Chizou ko Kabhi na Chorey

Namaz

5 Waqt ki Namaz Allah Ta’ala ne Musalmano par Hamesha ke Liye Farz ki hai, Sirf Ramadan me nahi Lehaza Jo Ramadan me Humne 5 Waqt ki Namaz Padhi Usko Jaari Rakhe Uske Saath Nawafil ka bhi Ahtemaam kare.

Nabi-e-Kareem ﷺ farmatey hai:

“Beshak Aadmi aur Shirk wa Kufr ke Darmiyan Fark karne waali cheez Namaz hai.”

📚 Sahih Muslim : Hadees No.246(82)

Lehaza Humesha 5 Waqt ki Namaz ka Ahtemaam Poori Zindagi jaari rakhe.

Subah wa Shaam K Azkaar

Subah wa Shaam ke Azkaar ka Ahtemaam Kare ye har Azkaar ki Ek Alag hi Fazilat hai. Issey Insaan Deen e Islam se Juda Rahta hai Allah ki Khashiyat uske Dil me Rahti hai. Subah ke Azkaar Fajr ke Baad aur Shaam ke Azkaar Asar ke Baad padhe.

Qur’an

Qur’an Allah Ta’ala ka Qalaam hai, Shifa hai, har Momin ke Dard ki Dawa hai, Sukoon Hasil karne ka Sabse behtareen Zariya hai. Aaj Har Musalmaan Pareshani ki zindagi Guzar raha hai, Qur’an Uski Pareshaniyou ka hal hai, Aaj Noujawan Depression me Ji Raha hai Qur’an Ussey Nijaat ka Zariya hai. Lihaja Rozana 1 Para Fajr ke baad padhle ya Apni Sahulat ke hisaab se Padhle taake 1 Mahine me 1 Qur’an Mukammal kar sakey.

Allah Rabbul Izzat farmata hai:

“Beshaq Allah Ke Zikr Se Momino ke Dil Itminan hasil karte hai.”

📚 Surah Ar Ra’ad 13:28

Tahajjud

Tahajjud ka Ahtemaam kare, Behtar hai Aakhri Paher me Padhe, Bas Fajr se 30-40 Minute pahle Uthkar Padhle ya raat me Sone se Pahle Padhle 20-30 Minutes Lagenge Padhne ke liye.

Rozey

Nafil Rozou ka Ahtemaam kare, Har Peer (Monday) aur Jumeraat (Thursday) ko Roza Rakhe har mahine ki 13,14,15 ko Roza rakhe isko Aadat bana le, Aasani se rah sakte hai in Shaa Allah.

Allah ke Nabi ﷺ Har Peer (Monday) aur Jumerat (Thursday) ka roza rakha karte aur farmate “Har Peer aur Jemraat ko Humare Aamal Allah Ke Paas Pesh kiye Jaate hai.” (Tirmizi Hadees No.747 Sahih)

Allah Ta’ala se Jude Rahne ke Liye in Tamaam Chizou ko Apanane ki Poori Koshish kare lekin Namaz to har haal me padhna hi hai, Yahi Kafir aur Musalmaan ke beech farq karne wali chiz hai, Hume sirf Ramadan ke Musalmaan nahi banna hai, Balke Sachche Musalmaan banna hai.

Allah Ta’ala Hum Sabko Isper Amal Karne ki Toufeeq Ata farmaye aur Ramadan jaisi Zindagi har Mahine Guzarne wala banaye

Aameen Ya Rabbul Aalameen

✍️ Afzal Khan Salafi

Leave a Reply