Subah ke sare Azkar me se Meezan par sabse bhari Azkar

✦ Mafhum-e-Hadees:

Ummul Momineen Juwairiyah (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) subah ko unke pass se nikle , wo apni Namaz ki jagah me subah ki Namaz Ada kar rahi thi, Aap (ﷺ) wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai,
Aap (ﷺ) ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ? Unhone kaha, ji haan !

Aap(ﷺ) ne farmaya “Maine tumhare baad chaar kalme 3 baar padhe , agar in kalmo ka wajan kiya jaye un kalmo ke saath jo tumne aaj abhi tak padhe hain to yahi bhari rahnege, wo kalimat ye hain –

سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ عَدَدَ خَلْـقِه
‎وَرِضـا نَفْسِـه
وَزِنَـةَ عَـرْشِـه
وَمِـدادَ كَلِمـاتِـه

Subhaanallaahi wa bihamdihi Adada khalqihi
Wa ridhaa nafsihi, Wa zinata Arshihi
Wa Midaada Kalimaatihi

*Tarjuma: Main Allah Subhanahu ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki tadad ke barabar, aur uski khushi ke barabar, aur uske Arsh ke wazan ke barabar, aur uske kalimat ki siyahi(ink) ke barabar.

📕 Sahih Muslim, Jild 6, 6913 

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

Leave a Reply