Har Nek Kaam me Sadqa hai …

Hadees Of The Day

Hadees: Har Nek Kaam me Sadqa hai …

Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke –

Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai.
Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai,

Aur kisi Bhatke hue ko Rasta bata dena ye bhi Sadqa hai.
Aur kisi Andhe ki Madad kar Dena ye bhi Sadqa hai,

Aur Raste se Patthar aur Kaanta aur Haddi hata dena ye bhi Sadqa hai,
Aur Apne Dhool me se Apne Bhai ke Dhool me Paani daal dena ye bhi Sadqah hai,

Matlab ye hai ke In Sub Kamao per Sadqa Dene ka Sawaab milta hai.

📕 Jam e Tirmazi Hadees # 1956

• Note: Puraney Zamaane Me Quwwe(Wel) Se Paani Khichvane ke liye
Istemal Ki Jaane Waali Bucket Ko Dhool Ya Dol Kaha Jata hai ,..

Leave a Reply