Roza kin Cheezo se toot’ta Hai?

“Bismillah Hir-Rahman Nir-Rahim”

1. Roza Rakh ne Wala, Janabat (Biwi se Mubashirat Ya Mani ka Kharij ho Jaana, Jiske liye Ghusl Wajib hai) ki Halat me Apna Roza Shuru kar sakta hai.

✦ Hadees: Ummul Momineen Ayesha (R.A) aur Umme Salma (R.A) bayan karti Hai: RasoolAllah (ﷺ) jab kabhi janabat ki halat me hotey aur Aap (ﷺ) par fajar zahir ho jaati toh Aap (ﷺ) Ghusl karte aur Roza rakhte.

📕 Sahih Al Bukhari, Hadees 1925

Agar koi Shakhs Ramzan me Raat ko Apni Biwi se Humbistari kare ya usey Ehtilaam ho jaye toh wo pehle Sehri karle, phir Ghusl kar le.

Agar kisi ko Roze ki halat me Ehtilaam ho jaye, jaise ke koi Shakhs Roze ki halat me soya hua ho aur usey Ehtilaam ho jaye toh uska Roza nahi toot’ta, Usko chahiye ke Ghusl kare aur apne Roze ko poora kare.

Agar koi Shakhs Roza rakh kar Apne-Aap mani ko Kharij karta hai ya Apni Biwi se Humbistari karta hai tou ye Gunaah hai aur is se Roza toot jaata hai, Usko chahiye ke ye toota hua Roza phir se Rakhe aur iska kaffara ada kare. (Shawal ya koi aur Mahine me).

* * * * * *

2. Miswak ya Tooth Paste Istemaal Karne se Roza nahi Toot’ta, Is Baat Ka Qhayaal Rakhein ke Tooth Paste andar na jaye

✦ Hadees: Ibn Umar (R.A) farmate hai “(Rozedaar) Din ke Awwal aur aakhri hisse me miswak kar sakta hai Magar woh is ka thook na Nigle.

📕 (Imam Bukhari Ne As Saum: Al Igtesaal Lis Siyaam Mein Taliqan Zikr Kiya Hai)

* * * * * *

3. Bhool kar Khaa-Pee lene se Roza nahi Toot’ta

✦ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne Farmaya:
Agar Koi Shakhs Bool kar Khaa-Peele tou usey chahiye ke wo Roze ko poora kare, kyu ke Allah ne usey Khilaya-Pilaya hai.

📕 Sahih Al Bukhari, Hadees 1933
📕 Sahih Al Bukhari: Hadith 6669
📕 Sahih Al Muslim: As-Siyaam, 171-1155

* * * * * *

4. Koi khane ki cheez ko chak ne se Roza nahi toot’ta

✦ Hadees: Hazrat Abdullah Ibn Abbas (R.A) farmate hai:
Koi Cheez Roze ki halat me chakhne par kuch Gunaah nahi, jab tak ke wo Halaq me na jaane paaye.

📕 Sunan Baihaqi, Hadees 4/261
📕 Ibn Abee Shaybah 9278
📕 Mukhtasar Saheeh Bukhari: Aasar 361
📕 Irwa Ul-Ghaleel Jild 4 Safa 86

* * * * * *

5. Tel aur Surma laga ne se Roza nahi toot’ta

✦ Hadees: Ibn Masood (R.A) farmate hai –
Jab Tum me se kisi ka Roze ka Din ho tou Isey Chahiye ke woh Subha Tel Lagaye aur Kangi Kare.

📕 Imam Bukhari Ne As Saum: Al Agtesaal Lis Siyaam me Taliqatan Zikr kiya hai.


✦ Hadees: Hazrat Aanas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai –
Woh Roze ki Halat me Surma Lagaya Karte Thein.

📕 Sahih Abu Dawood 2082-Hasan Mauqoof


✦ Hadees: Imaam Bukhari (R.A) kehte hai:
“Anas Ibn Malik (R.A) Hasan Basri (Rh.) aur Ibrahim Nakhi (Rh.) ne Roze ki Halat me Surma laga ne par koi Karahat nahi samji.

📕 Sahih Al Bukhari, 451

* * * * * *

6. Roze ki Halat me Sir par paani daalna ya paani nahaa ne se Roza nahi toot’ta

✦ Hadees: “RasoolAllah (ﷺ) Roze ki Halat me Pyaas ya Garmi ki Wajah se Apne sar par Paani Daala karte they.”

📕 Sunan Abu Dawood Hadees 2365

– Kuch Log Kehte hai Ke Roze Ki Halat Me Paani nahi Nahana Chahiye, Ye Be-Bunyad baat hai.

* * * * * *

7. Kya Khoon dene se Roza toot’ta hai ?

✦ Hadees: Abu Saeed (R.A) farmate hai:
Allah Ke Rasool (ﷺ) ne Rozedaar ko hijama karwane ki ruksat di.

📕 Darqutni, Tabarani, Bayhaqi
📕 Irwa Ul Ghaleel Jild 4 Safa 75 Raqam 931

* * * * * *

8. Qay (Vomiting/ Oolti) aane par Roza nahi toot’ta

✦ Hadees: Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jise Qaee Aajaye Is Par Qaza Nahi Aur Jo Jaan Boojh Kar Qaee Kare Toh Is Par Qaza Hai.”

📕 Sunan Abu Dawood, Tirmizi, Nasa’i, Ibn Majah, Haakim
📕 Saheeh Ul-Jami’ 6243) (Saheeh) Alfaaz Tirmizi ke hai.

Ibn Khuzaima ke Alfaaz hai: “Agar Rozedaar Khud Qaee(Ulti/Vomiting) kare tou iska Roza toot gaya aur agar uss par Qaee ghalib aagayi tou iska Roza nahi toot’ta.

📕 Saheeh Ibn Khuzaima 1960) (Isnaad Saheeh)

* * * * * *

9. Kya Biwi se Bosa karne se Roza toot’ta hai ?

✦ Hadees: Abdullah Ibn Amr Ibn Aas (R.A) bayan karte hai:
Hum Ek Martaba RasoolAllah (ﷺ) ke saath they toh ek Nawjawan aaya aur kaha ke kya mai Roze ki halat me apni Biwi ko bosa de sakta hu ?

Toh RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Nahi.” phir ek budha Aadmi aaya aur kaha ke kya mai Roze ki Halat me apni Biwi ko Bosa de sakta hu ? Toh Aap (ﷺ) ne farmaya: “Haan”

Abdullah Ibn Amr (R.A) kehte hai: Hum ek doosre ki taraf dekh ne lage, utne me Aap (ﷺ) ne farmaya: “Budha Aadmi Apne-Aap par Qabu paa sakta hai.”

📕 Musnad Ahmad, Hadees 2/581
📕 As-Saheeh 1606] (Hasan Saheeh)

* * * * * *

– Allah Subhanahu Wa Ta’ala Hum Sabko Sahih Deen Seekhne Aur Samjhe ne Taufeeq de,..
– Aur Hume Quran aur Sahih Hadees Ke Mutabik Amal Ki Taufeeq de,.. Ameeen,..

Allah se Du’a hai ke –
– Hum Tamam ko Quran-O-Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par Amal karne wala.
– Aur Qurano Sunnat ki Daw’at ko Aam karne ki Taufik ata farmaye,.. (Ameen Ya Rabbal Almenn)

Aur Dekhe:

Leave a Reply