Roza Iftar ki Fazilat Hadees ki Roshni me

۞ Hadees: Sulemaan Farsi (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya –
“Jis ne Halaal Khane ya Paani se kisi Musalman ko Roza Iftar karwaya tou Farishtay Maa-e-Ramzaan ke Auqaat me uske liye Astaghfar karte hai, aur Jibreel (Alaihay Salam) Shab-e-Qadr me Uss ke liye Astaghfar karte hai.”

📕 Tibrani Al Mo’ejam Al Kabair, Jild:6, Page:242, Hadith-6162

۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) farmate hai ke –
“Jo Rozdaar ko (Iftari me) Paani Pilayega Allah Usey mere Houz se Paani Pilayega ke Jannat me dakhil hone tak Pyasaa na hoga.”

📕 Sahih Ibne Khuzaima, Jild:3, Page:192, Hadith-1887

Wajahat: Subhan’Allah Iss se baat wajeh hoti hai ke –
Humey Iftaar Kisi ko Karaane me Susti kar ke itni badi Fazeelat se Mehroom nahi hona chahiye, Chahe Kajoor ho ya 2 Goont Paani ka hi kyu na ho Iftaari Zaroor Karwani Chahiye,

Allah Hume Ramzan me Khush Dili ke Saath Roze Daaro ko Iftaar Karane ki Taufeeq ata farmaye. Ameen Allahuma Ameen !!!

 

Leave a Reply