Rasool’Allah Ki Itteba Ke Bagair Ab Imaan Kabile Kabool Na Hoga

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Bada Mash’hur Aur Maruf Wakiya Hai, Bukhari Ki Riwayat Me Aata Hai Ke –

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ek Roz Sahaba-e-Kiram Ko Waaz aur Nasihat aur Khutba Dey Rahe They aur Umar bin Khattab (RaziAllahu Anhu) Ek Taraf Khadey Hokar Tauraat Ka Nuskha Lekar Usmey Se Kuch Padh Rahey They.

Yeh Dekh Kar Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Chehra Mubarak Laal Ho Gaya.

Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) ne Yeh Dekha tou Kaha – “Aye Umar Kya Tum Dekh Nahi Rahe Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Chehra Mubarak Kaisa Ho Gaya Hai Tumhare Iss Amal Par”

Jab Aap Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Dekha Tou Fauran Kaha – “Radheetu Billahi Rabba, Wa Bilislami Deena, Wa Bi Muhammadin Nabiya”
(Tarjuma: Mai Raazi Hu Ke Allah Mera Rabb Hai, Deen Mera Islam Hai Aur Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mere Nabi Hai.)

Aur Fir Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Umar bin Khattab Ki Taraf Dekha Aur Kaha –

“Aye Umar! Agar Mere Hotey Hue, Musaa (Alaihay Salam) Bhi Aa Jaye, Tou Unko Meri Itteba Ke Siwa Aur Koi Chara Na Hoga! Aur Agar Mere Hotey Hue Tum Unki Baat Maano Tou Tum Gumraah Ho Jaoge”

– (Bukhari Sharif)

Andaza Lagaiye, Musaa (Alaihay Salam) Ke Talluk Se Baat Ho Rahi Hai, Jinke Talluk Se Khud Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
“Mere Aur Musaa Ke Bich Me Mu’azna(Comparison) Na Kiya Karo! Isliye Ke Qayamat Ke Roz! Jab Mai Behoshi Se Uthunga Aur Mai Sabse Pahla Rahunga, Jab Mai Behoshi Se Uthkar Khada Rahunga Tou Kya Dekhta Hu Ke Musaa Allah Ke Arsh Se Lag Kar Pahle Hi Khadey Hue Hai. Mai Nahi Janta Ke Wo Behosh Hue Ya Na Hue, Ya Mujhse Pahle Uthkar Khadey Ho Gaye.”

Yeh Hai Musaa (Alaihay Salam) Ka Martba ! Aur Aap 5 Ulool Azm Paigmabro Se Ek Hai.
Aur Inhi Ke Talluk Se Rasool’Allah Farmatey Hai Ke – Meri Moujudgi Me Musaa Bhi Aa Jaye Tou Meri Itteba Ke Siwa Aur Koi Chara Na Hoga, Aur Tum Unki Itteba Karo Tou Tum Gumraah Ho Jaoge., .

Tou Jab Musaa (Alaihay Salam) Ki Itteba Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Moujudi Me Karne Se Gumraah Ho Jaoge,. Tou Andaza Lagayiye, Rasool’Allah Ko Chorrkar Jin Logon Ne Inko Aur Unko, Falah Aur Falah Ko Itteba Ke Layak Bana Liya Unka Kya Hoga Sirf Tasawwur Hi Kiya Ja Sakta Hai..

Aur Fir Iske Baad Humara Ye Kehna –
Inki Aur Unki Baat, Aisi Aur Waisi Baat,
Bado Ki Aur Choto Ki Baat, Ilaqe Aur Rangat Ki Baat,..
Yaad Rakhiye Ye Tou Bohot Hi Ghatiya Baat Hai !

Yakinan Musaa (Alaihay Salam) Jaisa Muqaam Iss Ummat Ke Kisi Bhi Shaksh Ka Nahi Ho Sakta..
Puri Insaniyat Bhi Jama Ho Jaye, Tou Ek Nabi Ke Muqaam Tak Nahi Pohoch Sakti..

Tou Andaza Lagayiye Humne Tou Jahalat me aakar Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Chorrkar Pata Nahi Kin-Kin Ko Apna Sahara Bana Liya.. Kin-Kin Ke Tareeko Par Hum Chaltey Hai aur Kya-Kya Amaal Humne Apni Zindagi Me Ijad Kar Liye Hai.. Allah hume In sabse bachaye,.

# Sabaq:

Iss Aahdees-e-Mubarak Se Maloom Hua Ke Allah Ke Nazdeeq Kisi Shakhs Ka Imaan Kabile Kabool Nahi Jab Tak Ke Wo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Iteeba Na Karey.. Aur Ab Jab RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Shariyat Allah Ne Tamam Aulaade Adam Par Farz Ki Hui Hai Tou Rasool’Allah Ko Chorrkar Kisi Aur Ke Tareeko Ko Tasleem Karna Bhi Gumraahi Hogi..

Lihaja Humey Chahiye Ke Shariyat Ka Sahi Ilm Hasil Kare, Uss Par Khud Bhi Amal Karey Aur Auro Ko Bhi Zamane Jahiliyat Ke Fitno Se Aagah Karne Ki Koshish Karey..

# In’sha’Allah Ul Azeez !!!
# Allah Ta’ala HumeParhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply