Ramzan ki Fazilat: Part 1

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah ke Naam se Shuru jo nihayat maherbaan aur rahem wala hai.

Tamam tareefe uss Allah Azawazzal ke liye jo tamam zahaano ko banana wala aur usey palney wala hai aur Durood-o-Salaam ho uske aakhri Nabi-e-Kareem (ﷺ) par.

• Ramzan ki Ahmiyat kya hai ?

Sabse pehli baat ke “Kisi cheez ki agar hume Ahmiyat na maloom ho tou fir uska fayda bhi hum nahi utha patey hai.” aur dusri baat ke “kisi cheez ke agar Masail maloom na ho tou uska sahi istemaal bhi hum nahi kar patey hai.”

Usi tarha agar hum “Ramzan” ke Fazail nahi jaan sakenge tou uski Ahmiyat nahi jaan sakenge aur uske Masail nahi janenge tou uska sahih fayda bhu hum nahi utha payenge.

Tou wo Mahina jo Humpar aanewala hai uski kya Ahmiyat hai, uske kya fazail hai In sha Allah is unwan me hum aapki khidmat me mukhtasar sa rakhne ki koshish karenge.

Aayiye Nabi-e-Kareem (ﷺ) aur Sahaba ke liye Ramzan kaise hua karte they wo jaan letey hai, wohi asal mayar(criteria) hai humare liye.

✲ Nabi-e-Kareem (ﷺ) aur Sahaba ke liye Ramzan ki Ahmiyat kya thi ?

Aahadees me aata hai ke

Jo hi Ramzan ka Mahina qareeb aata tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) kamarbasta ho jatey

Sahih Bukhari , Vol 3, 2024

Yaani tayyar ho jatey, Sadqe aur khairaat ke liye, Rozo ke liye, Qiamullail ke liye, Zikr-O-Azkar ke liye, Tilawatey Quraan me Ijaafe ke liye tayyar ho jatey.

Har kism ki Ibadati tayyari Aap (ﷺ) ki aur Sahaba ki hoti thi. Jab Ramzan aa raha hai tou unki Zehno me ibadatey ghum rahi hai ke kaise Mere Roze mukammil ho khusu aur khuju ke saath, koi kami na aaye mere Rozon me.

Isi tayyariyo me Sahaba lag gaye, Nabi-e-Karam (ﷺ) lag gaye, Ummaha-Tul-Mominin lag gaye, Sahabiyat lag gayi. pura mu’ashra isi tayyari me laga ke Ramzan me kaisi ibadate ho, kaise mai jyada se jyada ibadatey karu. Ye thi unki tayyari.

Kitna fark hai humari aur unki tayyariyo me ?

  • Humari tayyario me siway Duniya ke aur kuch bhi nahi aur unki tayyariyo me siway Aakhirat ke aur kuch bhi nahi.

Tou ye ek mousam aa raha hai hum par, ek behtareen mouka hume mil raha hai, ek jabardast mahina aa raha Hai.

Lekin ye bohot hi afsos ki baat hai ke is mahine ki aamad par siwaye duniya ke humare zehno me kuch bhi nahi aata.

Aisa kyu hua ? kyu humne Ramzan ki asal ahmiyat nahi jaani ?

Isiliye kyunki humne Ramzan ka asal maksad, iski ahmiyat , iski fazilat aur masail ki hakikat ko jan’na jaruri na samjha! jiski wajah se haq dhire dhire humari zindagiyo se faramosh hota gaya sur jahalat hum par aati rahi.


• Roze ka Asal Maksad kya hai ?

Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:

“Aye Emaan walo tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.”

Surah Baqrah 2:183

Tou Taqwa Roze ka maksad hai, Taqwa Ramzan ka asal maksad hai, Taqwa Roze ka paigaam hai, Taqwa Ramzan ka paigaam hai.

Aur Allah Rabbul Izzat ne baar-baar is paigaam ko dohraya aur kaha: “Aye wo logo jo imaan laye ho Taqwa (Parhezgaari) ikhiyar karo” aur ye aayat Quraan me baar–baar repeat hui hai.

Tou gour karne wali baat hai ke Taqwa yaani Allah ka darr jo ki bohot hi Ahmiyat waali baat hai jiska paigam hume diya gaya.

Isiliye Kyunki: Allah ka darr jab insan me aa jata hai tou Insan Haram aur Halal ki tameez karne lagta hai, Deeno Shariyat aur Duniyawi fizul kaamo me fark karne lagta hai, Duniya par Aakhirat ko tarzi deney lagta hai, dhokeybazi, jhooth, Zina, Sharab, juwa aur tamam buri khaslato se ahtiyat karta hai.

Tou In sha Allah-Ul-Azeez! is Unwan me hum Ramzan ki Ahmiyat aur Fazilat ke taaluk se mukhtasar sa bayan karne ki koshish karenge. Baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon farmaye.

To be continued …

NEXT  

2 Comments

  1. Khader bashasays:

    Jazakallahu Khairan…bahut hi asaan alfaaz me Quraan aur hadess ki roushni unwaan ko samjhane ki kosish kiye…Allah subhanallah is ka ajar poore de

Leave a Reply