Qabro Ki Ziyarat Mardo Par Halaal Aurto Par Haraam ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Tum Qabro Ki Ziyarat Kiya Karo Kyunki Wo Tumhey Mout Ki Yaad Dilati Hain”
(Sahih Muslim, Vol2, 2259)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Buraida (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Mainey Tumhey Mana Kiya Tha Qabro Ki Ziyarat Karney Se Lekin Ab Tum Ziyarat Karo Unki”.
(Sahih Muslim, Vol5, 5114)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Qabro Ki Ziyarat Karo Kyunki Ye Tumhey Aakhirat Ki Yaad Dilati Hain”.
Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1569 (Sahih)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibn Abbas (RaziAllahu Anhuma) Se Riwayat Hai Ki,
“Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Qabro Ki Ziyarat Karney Waali Aurton Par Lanat Farmayee Hai
Aur Isi Tarah Qabron Par Masjid Bananey Walo
Aur Uss Par Chirag Karney Walon Par Bhi Lanat Farmayee Hai”.
(Sunan Abu Dawud, Vol 2, 1459)

Leave a Reply