۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
✦ Hadith: Busr bin Sa’id se riwayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne farmaya:
‘Agar namazi ke saamne se Guzarne wale ko Guzarne ki Saza maloom ho jaaye to isey ek qadam aage badhne ki bajae 40 tak wahi khade rahna pasand ho.’ Abu an Nasr (RaziAllahu Anhu) ne kaha ke mujhe yaad nahi raha ke Basar bin Saeed ne 40 din kahi ya 40 mahine ya 40 saal.’
📕 Sahih Bukhari: al Salah 510,
📕 Sahih Muslim: al Salah 507
Guzarne walo ke liye Namazi ke aage Sutrah rakhe:
1). Hadith: RasoolAllah (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne farmaya:
‘Tum Namaz adaa karte waqt aage Sutrah khada karo aur agar koi shakhs Sutrah ke andar (ya’ani Namazi aur Sutrah ke darmiyan) se guzarna chahey to iski mazzamat karo aur usko aage se na guzrane do. Agar wo na mane to is se ladai karo. Beshak wo Shaitan hai.’
📕 Bukhari: al Salah 50,
📕 Muslim 505
2). Ek riwayat mein hai ke:
“2 baar to isko haath se roka agar wo na ruke to is se haatha paai se bhi gareez na kiya jaae (kyou’nke) wo shaitan hai.”
📕 (Ibn Khuzaymah 818) ne isey Saheeh kaha.
3). RasoolAllah (ﷺ) Sutrah aur apne darmiyan mein se kisi cheez ko guzarne na dete the.
Hadith: Ek baar Aap (ﷺ) Namaz ada farma rahe the ke ek Bakri daudti hui aai wo aapke aage se guzarna chaahti thee. Aap (ﷺ) ne apne batan e Mubarak (T: stomach) deewar ke sath laga diya to bakri ko sutrah ke peeche se guzarna pada.
📕 (Ibn Khuzaymah 827) Imam Hakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.
4). RasoolAllah (ﷺ) ki jaa-namaz aur deewar ke darmiyan ek bakri ke guzarne ka faasla hota tha.
📕 Bukhari: al Salah 496
📕 Muslim 508
5). Hadith: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
‘Agar namazi ke aage ounth ke palaan ki pichli lakdi jitna lamba sutrah na ho aur baaligh aurat, gadha ya siyah kutta aage se guzar jaae to namaz tuth jaati hai aur siyah kutta shaitan hai.’
6). Hadith: Ayesha Siddiqa (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ke ‘wo RasoolAllah (ﷺ) ke aage soti thee. Mere paou’n Aap ke samne hote they. Jab Aap (ﷺ) sajda karte to main apne paou’n samet leti aur jis waqt aap khade hote to paou’n phaila deti. Un dino’n gharo’n mein chirag nahi hote they.’
📕 Bukhari: al Salah 513
📕 Muslim: al Salah 512
Maloom hua ke Namazi ke samne se guzarna tou mana hai. Lekin agar aage koi leta ho to koi harz nahi.
Recent Posts
Jis Qoum Me Khayanat Ka Baazar Garm Hoga
807,235
Gunahgaar Bohot Jald Apney Kiye Ki Sazaa Paynge ….
807,186
Hadith: Allah se darte raho aur apne rishtedaro ke sath Husne Sulooq karo
807,374
Khamoshi Gusse ka Behtareen Ilaj Hai ….
807,616
मन्नत (Mannat/Wish/Votive) की हकीकत ….
807,463
Hadith: Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se apne aap ko bachaao
807,534
13. जिल हिज्जा | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा
293
Chehre par Wazu ka Asar Roz-e-Mehshar
807,430
Yakinan Inkar Karne Wale Kabhi Safal Nahi Honge ….
807,213
Tumhara Parwardigar farmata hai ke Mujhse Dua mango mai Qabool Karunga
तुम्हारा परवरदिगार इरशाद फ़रमाता है कि तुम मुझसे दुआएं माँगों मैं तुम्हारी (दुआ) क़ुबूल करूँगा
807,485
Paanch (5) Azeem Nekiyon Ka Hukm ….
807,327
Jis Seene me kuch bhi Quraan na ho wo Wiraan Ghar ki Misaal hai
807,326
Keh Do! Rizq Tou Mera Rab Deta Hai
807,375
Murgey ko bura bhala na kaho, kyun ke wo Namaz ke liye jagata hai
807,245
Ye 3 Surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi
Surah Ikhlas, Surah Falaq aur Surah An-Nas ki Fazilat
807,667
2
3
…
172
Next