♥ Mohabbat Ki Haqeeqat

Lafz-e-Mohabbat Hum Apni Zindagi Anginat martaba Sun’te Rehte hai , Jabki Iske Haqiki Maane Aur Mafhoom se Hum Bekhabar hai, Tou Lihaja Is Post Ke Waseele Se Aayiye Ek Misal Ke Tehat Ye Wajeh Kar Dete Hai Ke Aakhir me “♥ Hai Kya Ye Mohabbat ?…

*Yaad Rahe Ke Mohabbat Kisi Cheez Ka Sirf Naam Nahi Balki Mohabbat Ka Matlab Hota Hai “Ita-at ,..”
Maslan: Agar Mai Aapse Ye Kahu Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu! Tou Kya Tasawwur Karoge Aap Mere Baare Me ?
– Ke Shayad Walidain ki Khidmat Karta Ho, Raato Me Uthkar Pair Dabata Ho, Kabhi Arey-Turey Na Kahta Ho, Uff Bhi Na Karta Ho ! ,.. Yahi Saari Baate Khayal Karoge Na Aap Mere Baare Me ? .. Matlab Meri Mohabbat Ko Ita’at Me Aap Tasawwur Karoge ,..
*Lekin Agar Mai Aapse Kahu Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu ! Lekin Unki Nafarmani Karta hu aur Unko Marta bhi Hu! Tou Kya Aap Isko Meri Mohabbat Kahoge ? Nahi !! Yakinan Bilkul Bhi Nahi…

*Tou Agar Mai Kehta Hu Ke Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Mujhe Mohabbat Hai Tou Mere Liye Ita-at Lazim Hai ,.. Beshaq Ita-at Ke Bagair Mohabbat Beqaar Hai ..

*Lekin Jis Tarha Se Aaj Mohabbat Ke Naare Lagtey Hai.. Subhan’Allah !!
Ita-at Kaha Hai Mere Azeezo ? Waha Tou Sab Manmani Chal Rahi Hai … Fir Rasool’Allah Se Mohabbat Ke Dawey Hai ..
Jabki Mohabbat Ka Lazmi Zuz tou Ita-at Hai, Farmabardari Hai, Itteba Hai ,..
*Uss Tareeke Par Chalna Hai,.. *Uske Pasand Ko Pasand Karna Hai,.. *Uski Napasand Ko Napasand Karna Hai,.. *Uski Acchayi Ko Acchayi Samjhna Hai,.. *Usney Jisko Bura Samjha Usko Bura Samjhna Hai,.. *Usney Jo Kiya Wo Karna Hai,.. *Usney Jo Na Kiya Wo Nahi Karna Hai,.. Ye Hai Mohabbat, Aur Yahi Hai Ita-at Mere Azeezo !!!

*Aur Iska Fayda Ye Hoga ke Allah Rabbul Izzat bhi Humse Mohabbat Karega Jiske Talluk Se Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me Irshad Farmata Hai:
♥ Al-Quran: “Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aap Keh dijiye In Ahle Kitaab Se, (Mushrikane Makka Se, Yahudiyon Se, Nassaro Se Jo Tamam Ke Tamam Allah Se Mohabbat Ka Dawa Karte Hai) Kehdo In Sabse ! Ke Agar Tum Log Allah Se Mohabbat Ka Dawa Karte Ho Tou Meri(Rasool’Allah Ki) Itteba Tum Par Wajib Hai ..”
– [ Surah Aale Imran: Aayat-31]

*Tou Allah Rabbul Izzat ne Quran-e-Kareem Me Shart Wajeh Kar di Ke Jab Hum Allah Ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Ita’at Karenge , Aapki Sunnat Par Amal karenge Tab Allah Rabbul Izzat Humse Mohabbat Karega ,.

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Ki Ahmiyat aur Uspar Amal ki Fazilat ke Talluk Se Tafseeli Jankari ke liye aap is link par click Kare
♥ Sunnat Ki Ahmiyat

*Tou Beharhaal Rasool’Allah se Mohabbat Ka Dawa Karne Wale Hum Tamam Ke Liye Ye Jaruri Hai Ke Hum Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Har Mu’amlo Me Apna Ideal Aur Role Model Banaye Jaisa Ke Quraan Ne Hume Hukm Diya ,.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Ta’ala Humey Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ka Muttabe Banaye,
# Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sacchi Mohabbat Hum’me Daaley…
# Unki Sunnato Ko Samjhna Aur Uspar Chalna Humare Liye Aasan Karey..
# Aur Humari Naslo Me Rasool’Allah Ki Sunnat Ko Baaki Rakhey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply