Mehman Nawazi ki Fazilat aur Sunnat

Mehman Nawazi ki Fazilat aur Sunnat

Uqba bin Aamir (R.A.) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Us shakhs me koi Khair (Bhalayee) nahi jo mehman nawazi nahi karta”

📕 Masnad Ahmed 7088 -Sahih Al-Silsila As-Sahiha – 193


✦ Hadith: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par yaqeen rakhta ho usko apne mehman ki izzat karni chahiye”

📕 Sahih Bukhari, Jild 7, Hadees 6135


✦ Hadith: Abu Hurairah (R.A.) ka bayan hai,
Nabi-e-kareem (ﷺ) ne farmaya –

“(Mehman Nawazi Ke Mutabik) Sunnat ye hai ki Aadmi Mehmaan ko Darwaze tak rukhsat karne jaye”

📕 Ibne Majah

Leave a Reply