Zil Hajj ke Mahine ke Fazail aur Usme Karnewale Aamaal

Zil Hijjah ke Shuru ke 10 Dino ki fazilat

1. Allah Ta’ala ne Quran me in 10 Raaton ka Zikr kiya:

Allah Ta’ala ka farmaan hai:

“Qasam Hai Fajr Ki! Aur 10 Raatou Ki!”

Surah Al-Fajr: 89:1-2

Imam Ibn Kaseer(R.H) farmatey hai:

“Dus Raatou se Muraad Zull Hijja Mahine ki Pahli 10 Raatey hai.”

– Tafseer Ibn Kaseer : 5/559 Tafseer Surah Al-Fajr
– At-Tabari : 24/396

2. Hurmat Wala Mahina hai:

Allah Ta’ala ka farmaan hai:

“Maheenon Ki Ginti Allah Ta’ala ke Nazdeek Kitab Allah mein 12 ki hai, Ussi Din se Jab se Aasman o Zameen ko Us ne Paida kiya hai Unme se 4 Hurmat Wo Adab ke hai. Yahi Durust Deen hai, Tum in Maheenou mein Apni Janou par Zulm na karo.”

Surah At-Touba; 9:36

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:

“Zamana Ghoom Phir kar Usi halat par Aagaya Jaise Us Din tha Jis Din Allah Ta’ala ne Aasmaan aur Zameen Paida ki thi. Saal 12 Mahinou ka Hota hai, 4 Mahine Usme se Hurmat ke hai. 3 tou Ek Saath (Sequence se) hai. Zull Qidah, Zull Hijja aur Muharram aur Choutha(4) Rajab Jo Jumadi Ul Akhir aur Shabaan ke Bich Aata hai.”

(Sahih Bukhari : Hadees No.3197)
(Sahih Muslim : Hadees No.4383)
(Sunan Abu Daud : Hadees No.1947 Sahih)

3. Sabse Bahtareen Din Ibadat ke liye

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:

“In Dinou ke Amal se Zyada kisi Din ke Amaal me fazilat nahi. Logou ne pucha aur Jihad me bhi nahi?
Aap (ﷺ) ne farmaya ke haa! Jihad me bhi nahi Siwa uss Shakhs ke jo Apni Jaan o Maal khatre me daalkar nikla aur wapis aaya tou saath kuch bhi naa laaya (sab kuch Allah ki raah me qurban kar aaya).”

Sahih Bukhari : Hadees No.969

Is Mahine ke Shuru mein 1 se lekr 9 tak RasoolAllah (ﷺ) Roza bhi rakha karte they. Daleel – Sunan Abi Dawud 2437 In-book : Book 14, Hadith 125


4. Tamaam Afzal Ibadatey Ekhatta hoti hai:

Hafiz Ibn Hajar Asqalani {رحمه الله} farmatey hai:

“Wajah Ashra Zull Hijja ke Afzal hone ki ye hai Afzal Ibadatey Jinper Islam ki buniyaad hai Inme sab Jama ho jati hai aur wo Namaz hai aur Roza aur Sadaqah aur Hajj hai aur ye sab Ibadatey kisi aur din jama nahi hoti hai.”

Faiz Ul Baari : 2/184 Tahet Hadees No.916

5. Islam Arfa ke Din Mukammil Hua:

Allah Ta’ala ka farmaan hai:

“Aaj Maine Tumhare liye Deen ko Kaamil kar diya aur Tum par Apna Inaam bharpoor kar diya aur Tumhare liye Islam ko Deen hone par Raza mand ho gaya.”

Surah Al-Maida: 5:3

Ye Aayat Arfaat ke Din Nabi (ﷺ) par Nazil hui Dekhiye Sahih Bukhari Hadees no.45


6. Arfa ke Din ka Roza:

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:

“Arfa ke Din Roza Rakhne ki wajah se Main Allah ﷻ se Umeed Rakhta hu ke wo Issey pahle Saal bhar ke aur Uske baad ke Saal bhar ke Gunah Muaf farma dega.”

Sunan Ibn Majah : Hadees No.1730 Sahih

Aur Arfa Ka Din 9 DHUL HIJJAH ko hoga. In Sha Allahu taa’ala


Zilhajj Ke Maheene Ki Fazilat, First Ten Days Of Zil Hajj, 10 Days Of Dhul Hijjah, Zil Hajj Fasting Hadith, Dhu Al-Hijjah, Dhul Hijjah, Zilhaj, Zulhijjah, Zul Hijjah, Dhul Hajj, Zilhajj, Importance Of First Ten Days Of Zil Hajj And Sacrifice.

People also Search as:

Leave a Reply