Maah-e-Shabaan ke Rozey

Maah-e-Shabaan ki fazeelat me Muta’addad Ahadees aayi hain, magar in me se aksar riwayaat Zaeeh hain. tahem baaz Saheeh Ahadees se bhi Shabaan ki fazeelat maloom hoti hai.

✦ Mafhoom-e-Hadees:

1). Hazrate Ayesha (R.A) se riwayat hai ke Unhone farmaya ke maine Nabi Kareem (ﷺ) ko Shabaan se ziada (Ramazan ke Alawa) aur Maheene ke roze rekhte hue nahi dekha.

Sahih Muslim Hadees 782

2). Hazrate Ayesha (R.A) se riwayat hai ke Aap (ﷺ) siwaye chand dino ke Shabaan bhar Roza rakhte they.

Sunan Nasai Hadees 2355

3). Ek riwayat me Hazrate Ayesha (R.A) farmate hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ke nazdeek roza rakhne ke liye (Ramzaan ke Alawa) sab se ziada pasandeeda maheena shabaan tha.

Sunan Nasai Hadees 2350

In riwayaat aur Ahadees se Itni baat wazeh hai ke Shabaan ke Maheene ko ek Khaas Fazeelat haasil hai, Jis ki bina par Allah ke Rasool (ﷺ) Khusoosiyat ke sath iss me Roze ka Ahtemam farmate the.

Neez aakhri riwayat se ye bhi maloom hua ke Roze ke liye Allah ke Nabi (ﷺ) ke nazdeek Ramazan ke baad sab se mehboob Shabaan ka Maheena tha. Iss se bhi Shabaan ki ek khusoosi fazeelat maloom hoti hai.

Leave a Reply