Kyu Hum Par Zaalim Hukumra Musallat Hai ? …

Moujuda Haalat me Ummat-e-Muslima par Dushmane Deen jis tarah Zulmo-Sitam kar rahi hai, kya Sahaba ke dour me bhi yahi haal tha, Kya Sahaba bhi humesha magloob rahe? Aayiye Sahaba ki tareekh par gour karte hai.

Sahaba (RaziAllahu Anhu) ko Allah Rabbul Izzat ne Quraan me farmaya ke:

“Walaqad Qatabna fil zaburi, (zaboor ki misaal dekar kaha tha ke) “humne zaboor me ye cheez likh di thi ke ‘hum zameen ko humare nek bando ke liye de denge’” [21:105]

Aur Sahaba jab hukumat me aaye , tou unko ye baat yaad thi ke “Allah Rabbul Izzat ne ye wada kiya tha Zuboor ke andar aur ye baat Quraan me bhi repeat hui ke Duniya ki Hukmat Allah apne Nek bando ko ata karega.”

Fir Aaj Nek log Hukumat kyu nahi kar rahe ? iska matlab hum nek nahi hai isiliye tou hukumate humse chheen li gayi hai.

Warna hum agar Sahaba ki tareekh par gour karey tou Pata chalta hai ke Allah ne apna wada pura kiya aur Sahaba ko aisi shayane-shaan hukumate ata ki ke aaj bhi duniya ko hairat hoti hai.

Islamic History

632 C.A me Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke 118 saal baad 750 C.A. me Sahaba ki fouje ek taraf Paris tak pohoch gayi tou dusri taraf fouje lagi hui thi Mangoliya aur China ke borders tak aur iske bich me jo kuch tha wo sab musalmano ka tha.

Allah Rabbul Izzat ne itna bada Duniya ka ilaqa Sahaba ki hukumat me ata kiya tha ke Aaj bhi duniya ki tareekh kehti hai ke namumkin tha ke duniya me itni badi koi hukumat kar sakey.

Aur isme agar sirf Usmani Khilafat (Ottoman Empire) ki hi misaal le li jaye tou jab Ottoman Empire khatm hua 1924 me tou 42 mulk aazad baney. SubhanAllah!

Turkey , Syria, Jordan , Palestine, Hejaz , Misr, Belgium , Austria aur Europe me Turkey se aagey Albania, Kosovo, Bosnia, Slovakia ye sab inke under me tha.

Unaan (Greece) par tou 175 saal Musalamno ne hukumat ki aur Malesia aur Indonesia ke kayi taapu inke under me they jaha inke Jahaz park hua karte they.

Ye Siyasi urooj unhe sirf aur sirf Tawheed ki Barkat aur RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki ita-at se hasil hui thi. Aman ke deen ko logon ke dilo tak pohchane ki wajah se Allah Rabbul Izzat ne inhe logon ke Dilo me basa diya tha.

Aaj isi me hum kamzor hai isiliye Humpar Zalim Hukumra Musallat hai.

Lihaja hume chahiye ke hum Allah aur uske Rasool ki talimat par jam jaye fir In’Sha’Allah-ul-Azeez! wohi Urooj , wohi Izzat aur Qoumo ke Dilo me woji Humari Mohabbat Allah Rabbul Izzat bhar dega.

Aur agar humne aisa na kiya aur Kitabo Sunnat ki mukhalifat karte rahe tou natija kya hoga aur kya ho raha hai beharhaal hum sab dekh hi rahe hai.

Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke – 
– Hume kehne sun’ne se jyada Amal ki taufiq dey,
– Hume Kitabo-Sunnat ka Muttabey banaye,
– Jab tak Hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
– Khatma Humara Imaan par ho.

!!! wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!

 

Leave a Reply