Kya Hum Shukr-guzar Bandey na Baney ?

♥ Mafhoom-e-Hadees: Mughirah-bin-Shu’bah (RaziAllahu Anhu) Farmate hain ke –
“Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) itni Dair tak Namaz Me khade Rahte Ke Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Mubarak Qadmon par Waram Aajata,

Jab Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Arz kiya gaya ke –
Allah Subhanahu-Wa-Ta’ala ne Tou Aap ki Agli Pichli Khatayen Muaf farma Di hai
(Phir bhi Ibadat Me itni Mushaqqat ? )

Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Irshad Farmaya:
Kya Main Allah ka Shukr Guzar Bandah na Banu.”
– [Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 4836]

Leave a Reply