Kya Allah Sidhey Nahi Sunta?

Aaj Hum’me Se Kayi Musalman Apne Rab Ki Rehmato Se Itne Gafil Ho Gaye Hai Ke Wo Yaaha Tak Keh Detey Hai Ke Allah Humari Dua Ko Sidhey Nahi Sunta,, Bich Me Marhale Chaahiye..
Subahn Allah .. Agar Rab Sidhey Nahi Sunta Tou Koun Sidhe Sunta Hai ?
* Wo Rab Jiske Talluk Se Hum Khud Kehte Hai Ke Wo Humare Dil Ke Khayalat Ko Janta Hai,
* Burey Khayalat Par Hum Us’sey Tauba Karte Hai .. Kya Wo Rab Humari Dua Ko Sidey Nahi Sunta?

• Misaal Ke Taur Par: Quraan Ke Andar Allah Rabbul Izzat Ne Kuch Logon Ki Duao Ke Tallluk Se Tazkira Kiya..
Surah Araf, Surah Nisa, Aur Mukhtalif Surah Me Allah Ke Aur Iblis Ke Qalam (Conversation) Hai
Ke Kaha Shaitan Ne Allah Se – ‘Ke Aye Allah! Mujhe Dobara Uthaye Janey Tak Mohlat Di Jaye..’

Jab Shaitan Jannat Se Nikala Gaya Tab Shaitan Ne Allah Se Mohlat Mangi Kayamat Tak Ke Liye,.
Allah Ne Kaha – ‘innaka minal munzareen ,… ‘Ja Chuth De Di Tujhe Dobara Uthaye Janey Tak..’ – [Surah Saad(38)Ayat80]
Sawaal Yeh Hai – Shaitan Allah Se Sidhey Mange ! Allah Sidhey De Raha Usko..
Aur Mai Momin Hokar Sidhey Nahi Mang Sakta.. SubhanAllah !!!

* Sabse Badd’tareen Makhluk Allah Ki! Wo Allah Se Sidhey Mangti Hai ! Aur Allah Sidhey De Raha Usko..
Kyunki Wo Janta Tha Uska Akida Iss Muamle Me Durust Tha Ke Sidhey Sunta Hai Uska Rab .,.

* Usne Yeh Nahi Kaha Ke – ‘Aye Allah! Aadam Ke Waseele Se, Aye Allah Inn Farishto Ke Waseele Se.. Aye Allah Jibrayeel Ke Waseele Se’ ,,, Bilkul Bhi Nahi Kaha..
Bas Yehi Kaha Ke Aye Allah Mujhe Dobara Uthaye Jaaney Tak Mohlat Dey.. Kyunki Wo Janta Tha Allah Sidhey Sunta Hai..
Lekin Aaj Humne Aisa Akida Bana Liya Kha-Ma-Kha Ke Allah Sidhey Nahi Sunta !

Yaad Rakhiye Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Apni Ummat Ko Dua Ka Tareeka Bhi Sikhaya –
Aapne Farmaya – ‘Dua Ibadat Hai!’ Ek Riwayat Me Farmaya – ‘Dua Ibadat Ka Magaz Hai’ – (Tirmizi, Kitaab Al-Doawat, Jild: 5, Page:243, Hadith:3382) – @[156344474474186:]
Lekin Kya Kabhi Aapne Dua Ka Yeh Tareeka Sikhaya Jo Humne Aaj Ijad Kiya …

♥ Haa Wo Ek Hadees !!!
Aadam (Alahi Salaam) Jannat Se Nikaley Jaa Rahe Hai, Arsh Ki Taraf Deka Aur Arsh Ki Taraf Likha Hua Paya Ke – “La ilaha illallah Muhammadur Rasulullah”
Kaha Ke Aye Allah ! Mohammad Ke Waseele Se Meri Magfirat Kardey..
Allah Ne Kaha Ke – Aye Aadam Tujhe Kaise Pata Chala ?
Tou Kaha Ke – Mai Nikal Raha Tha Tou Arsh Par Dekha Ke Arsh Par Likha Tha – “La ilaha illallah Muhammadur Rasulullah”,
Tou Mai Samjh Gaya Ke Mohammad Koi Khas Hai Jisey Tune Apne Naam Ke Sath Lagaya Hai,
Lihaja Allah Ne Kaha Ke – “Ja Mohammad Ke Waseele Se Tujhe Muaf Kiya …”
Yaad Rakhiye Yeh Hadees Mouju Hai, Jhuti Hai,. Rasool’Allah Ki Taraf Mansub Ki Hui Hai..

Jab Ke Allah Rabbul Izzat Ne Surah Araf Me Wo Tauba Ke Alfaz Bhi Dohra Diye Jiske Jarye Aadam (Alahi Salaam) Ki Magfirat Hui …
Ke Allah Ne Aadam Ko Tauba Ke Kalimat Sikha Diye..
“Rabbana zalamna anfusina wa il lam taghfir lana wa tarhamna lana kunan minal-khasireen” – (Al-Quran 7:23)
Ab Kalimat Aagaye Na Sahi Daleel Ki Taur Par, Ab Agar Qalame Ilahi Ke Khilaf Koi Baat Aajaye Tou Samjh Jaye Ke Baat Kiss Hadd Tak Mouju Hai..

Lihaja Hum Tamam Ko Chahiye Sahi Ilm Hasil Karey Aur Kitabo Sunnat Ke Hawale Se Apne Akide Ka Mua’jna Karte Rahe..

Ha! Hum Mantey Hai Ke Waseela Aur Shafa’at Ka Akida Shariyate-Islamiya me Hai,..
Lekin Iska Matlab Ye Nahi Ke – “Tamam Aamal Chorrkar Kisi Bhi Aire-gaire Ke Waseele Se Apni Magfirat ki Ummid Rakhe..”
Jabki Waseele Ki Kuch Conditions hai ,..
Ha Uska Sahi Ilm Hum Haasil Kar Ley Tou Insha’Allah Ummat Ke Mafad Parast Logon Ke Fitno Se Bach Sakte Hai ..
Insha’Allah Hum ummat-e-nabi.com/home Site par Waseela Aur Shafat ke Talluk Se Tafeesil Se Post Karenge Bohot Jald.

# Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke –
# Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne Samjhne Aur Usspar Amal Ki Taufiq Dey!!
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply