Mout ki Tamanna Hargiz Naa kare

Hadees of the Day

Mout Ki Tamanna Hargiz Na Kare

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya –

“Tum me se koi Shakhs kisi Takleef ki Wajah se Jo Tumhe Pohanchi ho, Mout ki Aarzoo naa kare.”

Aur agar (Takleef ki Noeyat aisi ho keh Iss ke bagair) Chara na ho tou ess taraha Dua kare,

“Aye Allah ! Tu mujhey ess Wakt tak zinda rakh, Jab tak Zindagi mere liye Behtar ho aur Uss Waqt mujhe fout (die) kar de jab Wafaat mere liye behtar ho.”

📕 Riyaaz-Al-Saleheen Hadees 40


Kisi bhi Taklif ki wajah se mout ki aarzu Naa kare

Ek aur riwayat me aaya hai ke:
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Tum me se koi Maut ki Tamanna na kare Kiyun ki, Agar Woh Nek hai tou ho sakta hai Woh aur Zyada Nekiyan kar le aur agar woh Gunahgaar hai tou shayad woh (Nek Amal kar ke) Apne Allah ko Raazi kar le.”

📕 Sunan An-Nasayi, 1819

Allah Taala Hume kehne sunne se jyada amal ki taufiq de. Ameen! Allahumma ameen.

Leave a Reply