Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna kehne wale par Kufr lout aayega

Hadees of the Day

Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna

Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Jo Shakhs apney (Musalman) bhai ko Kafir keh kar pukare tou dono me se Ek par Kufr aa Jayega, Agar wo shakhs jisko usney pukara wo Kafir hai tou khair (Kufr uss par rahega) warna pukarney waley par laut aayega.”

📕 Sahih Muslim, Vol 1, 316


✦ Sabaq:

Yaad rahe ke kisi bhi Muslman ke koi Gairsharayi amal ko dekhkar uske Kufr ka Andesha ho jaye, fir bhi hume unpar Kufr ka ilzam nahi lagana chahiye, siway iske ke wakt ke Ulema-e-Haq ne Qurano Hadees ki rohsni me Muttafiq hokar us Shakhs par Kufr ka Fatwa de diya ho. Jaise ke Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke baad ab koi Naboowat ka dawa kare tou yakinan usne Kitabo Sunnat ki Pakiza talimat ka inkar kiya, yaani Kufr kiya.

is tarha ka koi sangeen mumla zahir ho jaye tou wakt ke Ulamaye Haq puri tehkik ke baad kufr ka fatwa jaari karenge,. warna kisi maslaki ikhtelaf, kisi nawafeel ibadat ke ikhtelaf ki bina par kufr ka fatwa lagana uski apni aakhirat barbad krne ke liye kafi ho jayega, usey chahiye ke allah se taubah kare,..


♥ Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke –

Tamam Kism ke Fitno se Humare Iman ki Salamati ata Farmaye,
Hum Tamam ko Hidayat de aur Sirate Mustakim par Chalaye,

Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda Rakhey,
Khatma Humara Imaan par Ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply