Ghussa aur Iska Ilaaj Aahadees ki Roshni me (Cures for Anger from the Sunnah)

Hadees of the Day

Baat Baat par Gussa karne se bachey

RasoolAllah (ﷺ) ne Apni Ummat ko Baat-Baat par Gussa Karne se manaa farmaya.
chunanche Hadees Sharif me aata hai ke:

Ek Aadmi RasoolAllah (ﷺ) ke Darbar me hazir hua aur Arz kiya ki
“Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Mujhe kisi Amal par Hukm Dijiye Magar bohot hi thoda ho.”

Tou Aap (ﷺ) ne irshaad farmaya ‘Ghussa Mat Kar.’

Usney kaha ki kuch aur irshaad farmaiye.
tou Aap (ﷺ) ne phir yahi farmaya ki, ‘Ghussa Mat Kar’.

phir kai baar Uss Aadmi ne maloom kiya magar har baar Aapne yahi farmaya ki ‘Gussa Mat Kar.’

📕 Bukhari Sharif, Mishkat 2-433,
📕 Ahyaul’ulum 2-165 Misri


Gusse ko Qabu karne wala Hakikat me Pehalwan

Ek aur riwayat me aata hai ke, 
RasoolAllah (ﷺ) ne irshaad farmaya:

“Pehlwan woh nahi jo logon ko Pachad deta hai, balki pehlwan woh hai jo Ghusse ki halat me Apne Nafs ko Qaabu me rakhe.”

📕 Mishkat 2-433, Mujatbai


✦ Ghusse Ka Ilaaj: Gussa aaye to yah Amal kare

Jab Bemouka Ghusse ki Jahalahat Aadmi par Sawaar ho Jaaye tou :

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya hai ki –

“Uss Shakhs ko Chahiye ki Wah Fauran hi Wuzu Karey! Isliye ki bemouka Ghussa dilane wala Shaitaan hai aur Shaitaan Aag se Paida kiya gaya hai aur Aag paani se bujh jaati hai isliye wuzu Gusse ki Aag ko bujha deta hai.”

📕 Mishkat 2-435, Mujtabai

Leave a Reply