Khaliq ki Nafarmaani me Makhlooq ki Ita’at Nahi


✦ Hadith: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai –

❝ Khaliq ki Masiyat (Nafarmaani) me Makhlooq ki Ita’at nahi hoti.❞

– (Sharh-Us-Sunnah, Hadith No. 1455)


✦ Aaj kitni martba aisa hota hai ke logon ka Dil na tutey isliye hum unki Gairsharayi rusumat me shirkat karte hai, Gairmaboodo ki parastish se bhi Ahtiyaat nahi karte, Kitabo Sunnat ke barkhilaf Apne Aaba-o-Azdaad ke tareeko par chaltey hai. Allah Reham Karey !

Jabki ye hadees wajeh taur se Humari rehnumayi karti hai ke Allah ki Narazgi me Hum kisi ki bhi Ita’at nahi kar saktey aur agar aisa humne kiya tou fir iska wabal bhi humpar hi aaney wala hai.

♥ Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke –
# Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,..
# Hume Tamam Gairsharayi Amal Se Ahtiyaat Karne Karnewala Banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply