Jiski Buniyad Shariyat me Nahi Aisa Kaam Deen me Ijad Karna Mardud hai

Roman Urduहिंदी

Hazrate Ayishah (RaziAllahu Anha) se riwayat hain ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Jisne Deen mein koyi aisa kaam kiya jiski buniyaad shari’at mein nahi wo kaam Mardood hai.”

– (Sunan Ibn Majah Hadees 14)

✦ Wajahat:

Maslan wo tamam Aamaal jinhe hum Neki aur Sawab ki ummid se karte hai lekin jo Sunnat se sabit na ho wo Mardood hai. yaani Allah ke nazdik Radd kiya jayega Roze Qayamat.

Kyunki aise Biddat wale aamal karne se hum Shariyat par, Nabi-e-kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Mukaddas Talimaat par aur Sahaba ki Nabi se Mohabbat par wo ilzam lagate hai ke “Unhe is falah aur falah Neki ka ilm na tha isiliye unhone nahi kiya aur hume iska ilm hogaya isiliye hum kar rahe hai.” Nauzubillah! Andaza lagaaiye kitna sangeen ilzam hai ye.

Bidaat ke Talluk se tafseeli Jankari ke liye aap is Link kar click kare.
⭐ Biddat Ki Haqeeqat

♥ In’sha’Allah Ul Azeez !!!
# Allah hume bachaye har kism ki gumrahi se..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey …
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply