Jannat ke Baag kya hai : Hadees

Hadees of the Day

Jannat ke baag aur iske phal

Abu Huraira (R.A) riwayat karte hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Jab tum Jannat ke baago me se guzro tou phal khao.”

Logo ne arz kiya
“Ya RasoolAllah ! Jannat ke baag kya hai? aur uss se kya muraad hai?”

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Jannat ke baag Masajid hai aur phal
‘SubhanAllah, Alhamdulillah, Allahu Akbar’ ki tasbih hai.'”

📕 Mishkat Sharif, Hadees 674

Leave a Reply