Istikhara karne ki Dua aur tareeqa

Istikhara ki Dua

۞ Hadees: Jabir bin Abdullah (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) humko apne tamam kaamo mein
istikhara karne ki is tarah taalim dete they jis tarah Quran ki koi surah sikhlaate.

Aap (ﷺ) farmate ki
jab koi ahem muaamla tumahre samne ho to
farz ke alawa do rakat Nawafil parhne ke baad ye dua parhe

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ، فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلاَّمُ الْغُيُوبِ،اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ )ـ فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ)وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي (فِي أعَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ) فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ،وَاقْدُرْ لِي الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ أَرْضِنِي بِهِ

Transliteration

Allahumma inni astakhiruka biilmika,
Wa astaqdiruka bi-qudratika,
Wa as’alaka min fadlik-al-azeem
Fa-innaka taqdiru Wala aqdiru,

Wa taalamu Wala aalamu,
Wa anta Allamulghuyub.

Allahumma, in kunta taalam anna hazal amra
khairun li fi dini wa maashi waaqibati Amri (ajiliAmri wa’ajilihi)

Faqdirhu wa yas-sirhu li summa barik li Fihi,
Wa in kunta ta’lamu anna hazal amra shar-run li fi dini

wa ma’ashi wa’aqibati Amri ( fi ajiliAmri wa ajilihi)
Fasrifhu anni wa asrifni anhu.

Waqdur li al-khaira haitsu kana Summa ardini bihi.’

Tarjumah

Aye mere Allah ! Main tujhse tere ilm ki badaulat khair talab karta hu
aur teri qudrat ki badaulat tujh se taaqat mangta hu
aur tere fazal e azeem ka talabgaar hu ke qudrat to hi rakhta hai
aur mujhe koi qudrat nahi.
ilm tujh hi ko hai aur mein kuch nahi jaanta
aur tu tamam posheeda baton ko janne wala hai.

Aye mere Allah agar tu jaanta hai ke ye kaam jis ke liye istikhara
kiya ja raha hai mere deen duniya aur mere kaam ke anjaam ke
aitbaar se mere liye behtar hai (ya mere liye waqti taur par
aur anjaam ke aitbaar se yeh behtar hai ) to isko mere liye naseeb kar
aur is ka husool mere liye aasaan kar aur phir is mein mujhe barqat ataa kar

Aur agar tu jaanta hai ke yeh kaam mere deen,
duniya aur mere kaam ke anjaam ke aitbaar se bura hai.
(ya mere liye waqti taur par aur anjaam ke aitbaar se yeh bura hai )
to usko mujh se door kar de aur mujhe bhi is se door kar de.

Phir mere liye khair muqaddar farma de,
jahan bhi woh ho aur is se mere dil ko mutmaen bhi kar dey.

Aap (ﷺ) ne farmaya ke is kaam ki jagah apne kaam ka naam le .

📕 Sahih Bukhari, Vol 2,1166

Rating: 5 out of 5.

Aur Dekhe

3 Comments

Leave a Reply