Islamic Quiz 235 : Youm-e-Arfa (9 Zil-Hijja) ke Roze ki fazilat kya hai?

Islamic Quiz 235

Youm-e-Arfa (9 Zil-Hijja) ke Roze ki fazilat kya hai?

Options Are 👇

A. Umr bhar ki Magfirat

B. Saal bhar ki Magfirat

C. 2 Saal ki Magfirat

D. Sahih Jawab Ka Intezar

Get Answer

Sahih jawab hai : Option ( C )

✅ 2 Saal ki Magfirat

Youm-e-Arfa (9 Zil-Hijja) ke Roza 2 Saal ke gunaaho ka kaffara hai. 2 saal se muraad pichla ek saal aur aane wala saal milakar hai.

Daleel :

Abu Qatada (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya:

“Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho ka kaffara hai.”

📕 Sahih Muslim, Kitabul Siyaam, Hadith#367

۞ Wajahat: Zulhijjah ki 9th tarikh ko Youm-e-Arfa Yaani Arfa ka din kaha jata hai aur is Din ka Roza In sha Allah-Ul-Azeez! Humare liye 2 saal ke Gunaho ka Kaffara banega.

Isme ulemao ka ikhtelaf hai ke aayinda(agle) 2 saal ya agle aur pichle milakar 2 saal. Beharhaal! hume chahiye ke is roze ka ahtmam karke is se fayda hasil kare.

Note: ye Roza jo Haaji is Saal Hajj ko Gaye hai unke liye nahi hai.

Install Islamic Quiz App

Read More: