Islamic Quiz 240 : Jab Allah kisi ko Mushkilo me daal dey tou Usey koun Nijaat dilane par Qadir hai ?

Islamic Quiz 240

Jab Allah kisi ko Mushkilo me daal dey tou Usey koun Nijaat dilane par Qadir hai ?

Options Are 👇

A. Farishtey

B. Ambiya (Alaihi Salam)

C. Allah ke Wali

D. Sirf Allah

Get Answer

Sahih jawab hai : Option ( D )

✅ Sirf Allah

Jab Allah kisi ko Mushkilo me daal dey tou Usey Sirf Allah subhanhu Taala Nijaat dilane par Qadir hai.

Daleel :

Allah Taala Quraane Kareem me faramata hai:

“Agar Allah tumko kisi kism ki takleef pahuchaye tou uske siwa koi nijaat dene wala nahi aur agar tumhe kuch fayda pohchana chahe tou bhi koi rok nahi sakta, kyuni woh har cheez par qaadeer hai.”

📕 Surah Al-An’am 6:17 (Mafhoom)


✦ Hadees: Abdullah Ibn Aabbas farmatey hai ke,

(Mere Bachpan me) Mai ek Martaba Aap (ﷺ) ke Sath Unth ke Pichey Baitha tha, tab Aap (ﷺ) ne Mujhe kuch Taqeede ki aur farmaya :

“Aye Abdullah! Tum Allah ke Ahqaam ki hifazat karna, wo tumhari hifazat karega, Tum Allah ke Ahqaam ki Hifazat karo tou Tum usey Apne samne paoge, Jab Tum koi Sawal karna (Mangna) tou Sirf Allah se karna,

Hatta ke Ek Riwayat me Aap ﷺ ne farmaya ke:
Tumhe Namaq bhi chahiye tou Allah se mangna
aur Jutey ka tasma (Lais) bhi chahiye tou Allah se hi talab karna.
Jab tumhe Madad talab karna hai tou Sirf Allah hi se karna.

Phir aagey Aap (ﷺ) farmatey hai:
Yaad rakh! agar puri duniya bhi tumhare haq me aajaye aur chahe ke Tumhe koi fayda dey tou wo fayda nahi pohcha sakti siway wo jo Allah ne likh rakha hai.

Aur Agar puri dunia bhi tumhare khilaf khadey ho jaye aur chahe ke tumhe Nuqsaan pohchaye tou wo Nuqsaan nahi pohcha sakti siway Allah ne jo likh diya hai. Isiliye ke Qalam rakha ja chukha hai aur Syahi sukh chuki hai.

📚 Mafhoom-e-Hadees; Tirmizi Sharif

Aagey Aap (ﷺ) farmatey hai:
Khush’hali me Allah ki taraf ruju karo tou
Pareshan haal me wo tumhe faramosh nahi karega,

Yaad Rakho! Jo cheez tumhe nahi Mili wo tumhe kabhi nahi milni thi,
Aur jo cheez tumhe mili woh tumse nahi cheen sakti.

Yaad rahe ke “Allah ki Madad Sabr se wabasta hai,
Koshish takleef ke saath hai aur Aasani tangi ke Sath”

📕 Mafhoom-e-Hadees: Ahmed

♥ SubhanAllah ,.. ♥ In’sha’Allah ul Azeez !!!
Allah Ta’ala hume kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey.

Install Islamic Quiz App