Islamic Quiz 304 : Jab ek Musalman kisi dusre Musalman se juda ho toh usko kya kahna chahiye?

Islamic Quiz 304

Jab ek Musalman kisi dusre Musalman se juda ho toh usko kya kahna chahiye?

Options Are 👇

A. Allah Hafiz

B. Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuh

C. Fi Amanillah

D. Ma As salam

Get Answer

Sahih jawab hai : Option ( B )

✅ Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuh

Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllahu ﷺ ne farmaya:

“Jab tum mein se koi shaksh majlis mein aaye to Salam kahe aur tum mein se jab koi majlis khatam kar ke uthey tab bhi salam kahe.”

📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1765-Sahih


Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllahu ﷺ ne farmaya:

“Jab tum mein se koi majlis mein pauche to unhe salam kare aur phir agar waha baithna ho to baith jaye aur jab (jane ke liye) khada ho to phir salam kare.”

📕 Jamia Tirmidhi , Vol 2, 602-Hasan


Note: Hamare bahut se Musalman Hazraat jaate waqt ALLAH hafiz ya fi amanilah kahte hain, jabki sunnat aur behtar tareeqa ye hai ki juda hote waqt bhi Salam kaha jaye. aur salaam ke sath ye bhi kahe to koi harz nahi.. Tafseeli jankari ke liye is mukhtsar si video ka mutala kare.

Allah Hafiz Ya Salam ke Alawa Kuch aur Kalimat Kehna Sahih hai by Adv. Faiz Syed

Install Islamic Quiz App