Ilm Ki Ahmiyat: Part-8

Ek Missal Deta Hu, Ke Kaise-Kaise Inkashafat Quraan Ne Wo Cheezo Ke Baarey Me Bataya Jisko Humne Duniyawi Ilm Keh Kar Chorr Diya ,.. Allah Ta’ala Farmata Hai: Surah Anmbiya (21) Ayat 30 Me Farmaya: Yeh Itni Behtareen Aayat Hai, Ismey Allah Rabbul Izzat Ne Humari Khalqat Ka Bayan Kiya Aur Farmaya:

[bs-quote quote=”“ Kya Yeh Log Jo Imaan Nahi Laatey Wo Dekhtey Nahi Ke Zameen Aur Aasmaan Ibteda Me Ek They, Humne Inhe Hukm Diya Aur Humare Hukm Se Yeh Dono Alag Ho Gaye.. Har Jinda Cheez Ko Humne Paani Se Paida Kiya! Kya Fir Bhi Imaan Nahi Layenge Yeh Log ? .. ”” style=”style-7″ align=”center” author_name=”– (Al-Quran: Surah Anbiya: 21:30)”][/bs-quote]

# Dekhiye Ek Ayat Ke Andar, 2 Jumlo Me Kaisi Behtareen Baat Bayan Kar Di Allah Ne,

✦ Zameen aur Aasmaan ki Paidaish aur Insan ki Paidaish:

– Ke Zameeno Aasmaan Pahle Ek They! Aaj Science Kehti Hai Ke Zameen-O-Aasmaan Wakaytan Pahle Ek They..
– Aur Fir Ek Bohot Bada Dhamaka Hua, Uss Dhamake Ke Baad Tamam Cheeze Wajud Me Aayi, Zameen, Suraj, Chaand, Sitarey, Keh-Kashaye Isi Tarha Ki Tamam Cheeze Ek Dhamake Ke Baad Wajud Me Aayi.. Aur Iss Dhamake Ko Science Ne Aaj Tasleem Kiya Aur Isey “Big Bang Theory” Ka Naam Diya ,..

* Ab Sawaal Yeh Hai Ke Har Dhamaka Tou Nuksaan Dehi Hota Hai Fir Yeh Zameen-O-Aasmaan Ki Paidaish Kaise Aise Hui Ke Ek Dhamaka Hua Aur Tamaam Cheeze Badd’nazmi Se Nazm Me Aa Gayi ,.. Keh-kashaye Ban Gaye ,… Zameen-O-Aasmaan Ban Gaye ,.. Suraj-Chaand, Sitarey Apni Gardishey Lene Lagey ,..
– Yeh Kaise Ho Sakta Hai Jab-Tak Ke Wo Dhamaaka Kisi Aisi Shakhsiyat Ne Na Kiya Ho Jo Well Organized Aur Well Control Na Ho!! Bulki Nazm Ke Taur Par Aur Jabt Ke Saath Kiya Gaya Dhamaaka Ho Wo ,..

* Tou Jab Aqalmand Log Dekhtey Hai, Gour-O-Fiqr Karte Hai Zameen Aur Aasmaan Ki Paidaish Par Ke Yeh Ek They Aur Allah Ke Hukm Se Alag Ho Gaye Tou Imaan Laney Par Majbur Hotey Hai …
– Isliye Ke Badey-Badey Log Jinhone Falsafa-e-Etika (Theory Of Evolution Jisme Logo Ko yeh Falsafa Diya Tha Ke Sabkuch Khud-Bakhud Ban Gaya) Likhi Wo Log Aaj Maan’ne Ko Majbur Hai Ke Yakinan Koi Hai Jisney Nazm Aur Jabt Ke Saath Yeh Dhamaaka Kiya ,..

* Aur “Stephen Hawking” Yeh Bohot Mash’hoor Aur Maaruf Astrophysicists Scientist Hai, Bohot Badi-Badi Kitabe Inhone Likhi Hai, Aur Wo Likhtey Hai Apne Kitaab “Theory Of Everything” Me Aur Kehte Hai Ke –
“Jo Dhamaka Hua! Jis’se Kaynaat Wajud Me Aayi, Agar Yeh Dhamaka Millionth Of Millionth Second Jyada Ho Jata Yaani Ek Second Ko 10 Lakh Hisso Me Taksim Karo Aur Uss 10 Lakhwe Hisse Ko Fir 10 Lakh Hisso Me Takism Karo Isey Kehte Hai “Millionth Of Millionth Second”
Tou Wo Kahte Hai Ke Millionth of Millionth Second Jyada Hota Tou Kaynaat Wajud Me Nahi Aati Aur Kum Hota Tou Bhi Wajud Me Nahi Aati ,..” Subhan’Allah!!

* Itna Dhamaaka Nazm Aur Jabt Ke Saath Kiya Gaya Ke Kaynaat Wajud Me Aa Jaye ,..
– Aur Quraan Ne Yeh Baat 1400 Saal Pahle Hi Bayan Kar Di Ke Allah Ke Hukm Se Bohot Bada Dhamaka Hua (Big Bang) Aur Uss Dhamaake Se Kaynaat Ko Wajud Me Laya Gaya ,..

• Isi Ayat Ke Agley Hissey Me Allah Ta’ala Farmata Hai:

[bs-quote quote=”“ Humne Tamam Zinda Cheezo Ko Paani Se Paida Kiya, Tou Kya Fir Bhi Imaan Nahi Laoge,. ”” style=”style-7″ align=”center” author_name=”– (Al-Quran: Surah Anbiya: 21:30) “][/bs-quote]

– Aaj Hum Apni Paidaish Ko Dekhey, Jaanwaro Ki Paidaish Ko Dekhey, Tamam Jaandar Ki Paidaish Ko Dekhey Tou Pata Chalta Hai Ke Paani Ka Ek Bohot Bada Hissa Hota Hai ,..
– Balki Science Yeh Kahti Hai Ke “Pahli Makhluq Tou Paani Me Hi Paida Hui Hogi” Jisey “Amiba (Amoeba)” Ke Naam Se Science Ne Tasleem Bhi Kar Liya ,..

# Aur Jaahir Si Baat Hai Ke – Har Jism Me Paani Hota Hai Aksariyat Hissa ,..
– Insani Jism Cell Se Bana Hota Hai Aur Har Cell Ke Andar Jo Cytoplasm Hota Hai Ek Hissa Jisme 50% Lekar 90% Paani Hota Hai Aur Insani Jism Me Mukammil Taur Se 72% Paani Hota Hai.. Yeh Baat Tou Rabbul Izzat Ne Batla Di Ke Har Zinda Cheez Ko Humne Paani Se Banaya Fir Bhi Imaan Nahi Laoge ? (Subhan’Allah)

# Tou Pata Chala Ke Yeh Baat Tou Janta Hai Momin… Aur Kyu Na Ho ? ….
– Ek Martba Ek Maahire Jananiyat Yaani “Human Embryology” Ka Maahir Ek Shaksh Tha Uska Kisine Interview Liya Aur Kaha Ke – “Insani Janiniyat Ke Jo Stages Tum Batatey Ho (Yaani Baccha Maa Ke Pait Me Kin-Kin Haalato Se Gujarta Hai), Yeh Baate Tou ‘Ibn-Khayyam-Al-Jauzi’ Ne 750 Saal Pahle Likhi Hai …”
Tou Uss Scientist Ne Jawaab Diya Jo GairMuslim Tha Ke – “Ibn-Khayyam-Al-Jauzi Ne Kiya Hi Kya?… Usney Tou Sirf Quraano-Hadees Ko Lekar Naql Kar Diya! Lekin Mehnat Tou Humne Ki Usey Saabit Karne Me”
Subhan’Allah!!! Dekhiye Uskey Iss Tanz Me Jawaab Diya Usne Ek Cheez Ka –
“Ke Islam Itna Aagey Tha Uss Zamane Me Bhi Ke Khaali Tum Copy Karlo Lekar Bhi Tou Tum Haq Par They ..”

*Tou Iske Iss Radd Me Bhi Ek Jabardast Inkashaf Tha Ke Islam Hi Ne Haqeeqi Ilm Diya Duniya Ko, Tou Yaha Bhi Tarji Di Jaa Rahi Hai Duniyawi Ilm Ko Haasil Karne Ke Liye …

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

Leave a Reply