Ilm Ki Ahmiyat: Part-4

✦ Ilm Kya Hai ?

Umar Ibne Khattab (RaziAllahu Anhu) Se Ek Martba Sawaal Kiya Gaya Ke: ‘Ilm Kya Hai?’
Aapne Farmaya: “Ilm Wo Hai Jo Allah Ki Kitaab Me Hai , Yaani Jo Allah Ne Kaha Wo Ilm Hai , Aur Jo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaha Wo Ilm Hai , Aur Koi Shakhs Yeh Kahe Ke ‘Mujhe Nahi Malum! Yeh Bhi Ilm Hai,. Yaani Uss Se Koi Sawaal Kiya Jaye aur Jawaab Na Maloom Ho Tou Sach-Sach Keh Dey Ke Mujhe Nahi Maloom Yeh Bhi Ilm Hai.

Isliye Ke Baaz Log Apni Shaan Ko Barkarar Rakhne Ke Liye Kuch Bhi Jawaab De Detey Hai ,..
Lekin Inn Jhute Jawaab Deney Walo Se Behtar Wo Shakhs Hai Jo Saaf Saaf Kehde Ke Mujhe Nahi Maloom ,..
Isiliye Ke Yeh Kahne Ko Bhi Insan Ko Bohot Bada Dil Lagta Hai …

✦ Hume Iss Duniya Me Rehte Huey Hi Deen Par Chalna Hai:

Tou Hume Chahiye Ke Khub Se Khub Ilm Haasil Kare,.. Aur Jaahir Si Baat Hai Ke Dini Ilm Ke Sath Duniyawi Ilm Hamesha Juda(Saath) Hi Rehta Hai,..
Lekin Duniyawi Ilm Ke Sath Dini Ilm Humesha Juda(Saath) Nahi Hota ,..
Yeh Baat Hum Isiliye Keh Rahe Hai Ke, Jab Hum Quraan Ka Muta’ala Kare Tou Quraan Ne Kabhi Farq Nahi Kiya Inn Uloom Ke Andar .. Aur Shariyat Ne Kabhi Deen Aur Duniya Me Farq Nahi Kiya ,…
Isliye Kyunki Duniya Me Rehkar Hi Tou Hume Deen Par Chalna Hai ,…

✦ Jaise Misaal Ke Taur Pe: “Agar Mai Kahu Ke Paani Ka Jahaaz Chal Raha Hai.. Tou Aap Kaha Tasawwur Karoge Ke Kaha Chal Raha Hai ?,..  Registaan Me, Sehra Me, Pahado Par Ya Hawa Me ?

*Zaahir Si Baat Hai Ke Paani Ka Jahaaz Tou Paani Par Hi Chalega , Tou Agar Me Kehta Hu Ke Mai Deen Par Chal Raha Hu Tou Zaahir Si Baat Hai Ke Duniya Me Rehkar Hi Deen Pe Chalunga. Duniya Ko Chorrkar Tou Nahi Chal Paunga Na Deen Par.

Lihaja Shariyat Ne Deen Aur Duniya Me Farq Nahi Kiya Kabhi…
Lekin Farq Kiya Hai Dunia Aur Aakhirat Me …
Allah Ne Baar-Baar Kaha Ke – “Yeh Duniya Hai Aur Wo Aakhirat”,  “Yeh Duniya Hai Aur Wo Aakhirat”
Aur Quraan Me Jitni Martaba Duniya Ka Lafz Aaya Hai Utni Martba Aakhirat Ka Bhi Lafz Aaya Hai..
Tou Hume Iss Duniya Me Rehte Huey Hi Deen Par Chalna Hai, Deen Aur Dunia Me Farq Nahi Karna Kabhi.,..

✦ Deen aur Duniya me Farq Karne ka Natija:

Aur Jab Humne Deen Aur Duniya Me Farq Kiya Tou Mu’amlaat Me Farq Kiya,.. Aamal Me Farq Kiya,.. Akhlaq Me Farq Ho Gaya.
* Masjid Ke Akhlaq Dekhiye Aur Tijarat(Business) Ke Akhlaq Dekhiye!!
* Masjid Me Dekhiye Koi Banda Jhuth Nahi Bol Raha, Aur Tijarat Me Dhada-dhad Jhuth Bol Raha Hai …
* Masjid Me Hai Tou Taqwa Ikhtiyaar Kar Raha Hai, Aur College Ja Raha Hai Tou Logon Ke Saath Ched-Chad Kar Raha Hai, Logon Ko Takleef Pohcha Raha Hai.
Yeh Farq Isiliye Hua Ke Humne Deen Aur Duniya Me Fark Kiya.
Lihaja Hume Iss Duniya Me Rehte Hue Hi Deen Par Chalna Hai.

Haa! Lekin Jab Ilm Ki Baat Aayegi Tou Tarji Tou Yakinan Deeni Ilm Ko Di Jayegi,. Isliye Kyunki Hadees Ka Mafhoom Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya –

[bs-quote quote=”“ Jab Allah Kisi Ko Pasand Karta Hai Tou Usey Deen Ki Samajh Ata Karta Hai ”” style=”style-2″ align=”center” author_name=”- (Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan,71)”][/bs-quote]

Tou Pata Chala Foukiyat(Importance) Tou Dini Ilm Hi Rakhta Hai Humesha,. Ahmiyat Tou Dono Ilm Ki Hai, Haasil Dono Karna Hai Lekin Jyada Important Tou Dini Ilm Hi Me Hai .. Isliye Ke Deeni Ilm Me Duniyawi Ilm Chupa Hua Hai,

Jaise: * Zameeno Aasman Ka Ilm Quraan Me Wajeh Taur Par Allah Bayan Kar Raha Hai.
* Suraj Aur Chaand Ke Talluk Se Quraan Baar Baar Tazkira Karta Hai ,..
* Qaaynat Me Kis Tarha Se Allah Ne Makhluqaat Ko Failaya Uska Tazkira Karta Hai ,..
* Koi Mar Jaye Tou Kis Tarha Wirasat Ko Taksim Kiya Jaye Iska Ilm (Ilm-e-Hinsa) Yaani Mathematics Ka Ilm Allah Quran Me Deta Hai ,..
Tou Goya Banda Wakaytan Deen Ka Ilm Haasil Kare Tou Bohot Sara Duniya Ka Ilm Khud-Ba-Khud Haasil Kar Leta Hai, Lihaja Awwal Tarjiyat Dini Ilm Ko Hi Di Jayegi. Aur Isimey Duniyawi Ilm Shaamil Hai ,. Isko Chorna Nahi Hai.

* Warna Dini Aur Duniyawi Ilm Me Farq Karne Ka Natija Ek Yeh Hua Ke Dini Ilm Alag Aur Duniyawi Ilm Alag.
Dini Ilm Ke Liye Madarsey Aur Duniyawi Ilm Ke Liye School! Aur Jab Yeh Mu’amla Hua Tou Ilm Musalmano Se Jata Raha.. Duniyawi Uloom Bhi Jatey Rahe Aur Dini Bhi.

Lihiaja Yeh Duniyawi Ilm Bhi Yaad Rakhiye Hissa Hai Dini Uloom Ka Isey Chorrna Nahi Hai ..

♥ In sha Allah! Aagey Ke Parts Me Hum Dekhenge Ke Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Kin-Kin Uloom Ka Tazkira Kiya Jisey Aaj Science Ke Haal Me Janey Jaatey Hai.

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

Leave a Reply