Ilm Ki Ahmiyat: Part-14

✦ Al’khwarizmi (Inventor of Algorithm):

Koun Nahi Pahchanta Inhe.. Inke Naam Se “Algorithm”. Jo bhi Science Padha Ho, aur Bilkhusus Science Jo Technology Ka Ho .. Log Iss Naam Ko Behtar Jante Hai.. Yeh “Algorithm” Al’khwarizmi Ki Hi Deyn Hai..
Inhone Kaha Ke Kisi Bhi Pechida Masle Ko Hal Karne Ke Liye Steps Bandhna Chahiye,.. Uski Tarkib Yeh Hona Chahiye Steps Ki Shakl Me.. Aur Inhi Ki Steps Ko Inhi Ka Naam Diya Gaya.. Jise Hum “Algorithm” Naam Se Jante…

Al Khwarizmi
Al’khwarizmi (The Inventor of Algebra)

Aur Inhone “Algebra” Ki Buniyad Daali. Algebra Jo Subject Hota Hai Mathematics Ka Jo 4th Standard Se Shuru Hota Hai , Unhone Ek Kitab Likhi Jo Mushkil Cheeze Hoti Hai Samjhne Ke Liye Unhe Hal Karne Ke Liye.

* Misaal Ke Taur Par 3x + 3y = 6 ,.. Ab Ye Kaisa Hal Kiya Jaye.. Isiliye Ke Nichey Wala Equation Upar Wale Jaisa Nahi Hota .. Tou Inhone Kaha “Al Jabr Wal Muqabla” Yaani Jabardasti Laa Kar Uske Muqable Ko Khade Kardo ,
aur Fir Unn Dono Upar Wale aur Nichey Wale Ko 3 Se Jarab Dedo Yaani Dono Ko Jarab Dene Ke Baad Ek Cut Ho Jata Hai Sum Fir.

Tou Kaha “Al Jabr Wal Muqabla” Yaani Jabardasti Lao Khada Kardo Uske Muqable Me, Isi Falsafe Par Ek Kitab Likhi Aur Pura Uska Hal Diya, Jis’se Wo Pura Fun Algebra Kehlaya.. Jiska Mana Hota Hai Jabardasti Lakar Khada Kardo Muqable Me Isliye Ke Ab Pechida Masla Hal Karna Hai.

Tou Dekhiye Ye Musalmano Ki Deyn hai, aur Pata Nahi Aise Itni Saari Cheeze ke Humare Liye Ginwaana Mushkil Hai, Khud Aaj ki Jo English hai Uski Gawahi Deti hai Jo Musalmano Ke Ijadat(Invention) Hai, Unke Alfaz Batate hai , Jaise “Zeenat” Sitare Ko Kahte Hai Jo Arbi Lafz Hai.

Shugar Hai, Sukar Hai, Cotton Hai, Lemon Hai aur Anginat Aisi Cheeze Milengi Jo Musalmano Ki Deyn Hai Insaniyat Ke Liye.

Lekin Aaj Hum Tamam Ne Iss Cheez Ko Yeh Keh-Kar Chorr Diya Ke Yeh Tou Asli Uloom Hai. Jabki Yeh Scientist Badey-Badey Imam Bhi They Apne Qoum(Kabile, Maslak) Ke. aur Deen Ki Samjh Bhi Rakhte They aur Saath Me Badey-Badey Scientist bhi Hai.. Koi Fark Nahi Kiya Unhone Ilm Ke Andar.

* Europe Jaha Andhere Me Rehta Tha, Waha Musalmano Ke Shehro Me Street Lights Jalti Thi , Yeh Unke Inkashafat, Yeh Unke Iajadad They.


✦ Fir Aaj Hum Itney Pichey Kyu Reh Gaye ?

Yeh Sawal bhi Aata Hoga Na Jehan Me , Hum Uski Vajah Rakh Detey hai Aapke Samney , Isayiyat Ne, Christianity ne Europe ne Jab Dekha Ke Unka Rehnuma Jo Pope hai Agar Uski Baat Hum Maaney tou Inkashafat Nahi Kar Sakte! aur Bible(Injeel) Par Jabtak Chale tou Bible Hukm Nahi Deti Inkashafat Ka. Isliye Ke Bible Me Bohot si Scientific Galatiya Hai ,.. Jo Insano Ne Usme Raddo Badal Kiya Uski Vajah Se.

* Tou Unhone Ye Socha Ke Bible ko Jabtak Na Chorre Hum Duniya me Inkashafat Nahi Kar Sakte.. Aagey Nahi Badh Sakte.. Aur Fir Bible ko Renaissance ke Naam Par Alag Kar Diya Apne se.

* Jab Bible Ko Aur Pope Ko Hata Diya Apne Sir Se Tab Unhone Duniya Me Ijadad (Discoveries) Kar Sake, aur Baad Ke Musalmano Ko bhi Laga Ke Jabtak Hum bhi Quraano Hadees Ko Nahi Chorte Tab Tak Hum Bhi Iajdad Nahi Kar Payenge.. Lihaja Humne Bhi Qurano Hadees Ko Chorr Diya.

✦ Yaad Rakhiye! Unka aur Humara Usool Mukhatlif Hai.

Jab Tak Wo Apni Kitab Ko Thaamkar Rakhenge wo Duniya me Aage Nahi Badh Sakte, aur Jab Hum Apni Kitab Ko Chorrenge, Hum Duniya Me Aage Nahi Badh Sakte.

Tou Humko Bhi Laga Ke Modern Ban’na Hai, Technology me Aagey Badhna hai tou Quraan aur Hadees Ko Chorrna Hoga, Lihaza Humne Chorr Diya aur Jiss Din se Chorra Uss Din se Duniya me Zaleelo-Khwar Hue.

* Jabki Yaad Rakhiye Hum Jab-Tak Allah Ki Kitab aur Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Ko Thamey Rahenge Tab Tak Duniya me Aagey Badhenge Aur Jab Chorr Denge Tab Humara Zaleelo khwar Hona Lazim Hai, Aur Iski Misaale Bhari Padi Hai Tareekh Me.

Aur Jo Log Deen Jantey hai Wohi tou sahi Inkhshafat Karenge, Jo Log Apne Rab Ki Marifat Rakhenge, Allah Unhi Se Fir Kaam Bhi Leta Hai, tou Aaj Hum Duniyawi Uloom me Pichey Isliye hai Kyunki Humne Quraan-o-Hadees Ko Chorr Diya.

# Lihaja Hume Chahiye Ke Duniyawi IlM Bhi Khub Haasil Karey, aur Sharayi Ilm tou Haasil Karna Hi Hai ,..

♥ In’sha’Allah !! Agli Post me Hum Ek NonMuslim Mas’hoor Aur Maaruf Shakhsiyat Ke Bayan Ka Zikr Karenge Jo UnhoNe Aise Haalato me Diya Jab Ke Islam Ka Naam Leney Se Bhi Log KhoufJada Hua Karte They …

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

Leave a Reply