✦ Neki Acche Akhlaq ka Naam hai :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nawas bin Samaan Ansari (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Neki aur Gunaah ke baare me Poocha tou Aap ne farmaya “Neki Acche Akhlaaq ka Naam hai aur Gunah Jo tere Seeney me Khatke aur tujhe pasand na ho ke log usey jaaney.”
✦ Kaamil Iman ki Alamat :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Momino me Iman ke Aitbar se sabse Kamil Shakhs wo hai jiske Akhlaaq sabse acche hai.”
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Behtareen Akhlaaq wala sab se Kamil Momin hai aur Tum me behtar woh hai Jo apni Aurto ke Haq me Acchey (Narm Dil) hai.”
✦ Rozedaar aur Tahajjud Guzar jaisa Martaba :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummaha tul Momineen Ayesha (RaziAllahu Anha) farmati hai ke, Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ye farmate huwe suna “Momin Apne Achche Akhlaaq se Rozedar aur Tahajjud Guzar ka Darja Hasil kar leta hai.”
✦ Meezan (Tarazu) me Wazni Cheez :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Meezan me Achche Akhlaaq se Zyada bhari Cheez koi nahi.”
✦ Jannat ki Zamanat :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Umama (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Main Jannat ke Atraf me ek Ghar ka Zaamin hoon Uss Shakhs ke liye Jo haq pe hone ke bawjood Jhagda chorr dey , Aur Jannat ke darmiyan me ek Ghar ka Zaamin hoon Uss Shakhs ke liye Jo Mazaaq me bhi Jhoot bolna chorr dey , Aur Aala Jannat me ek Makan ka Zaamin hoon Uss Shakhs ke liye Jisne apna Akhlaq acha kiya.”
✦ Jannat me Dakhil ka Sabab :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se pucha gaya ke – “Kis Amal ki wajah se log Zyada Jannat me dakhil honge ?.. ” Aap ﷺ ne farmaya “Allah ka Khauf (Taqwa) aur Husn-e-Akhlaq se.”
Phir pucha gaya “Zyada tar log Jahannam me kin Aamal ki wajah se jayenge ?..” Aap ﷺ ne farmaya – “Munh (yani zubaan) aur Sharmgah ki wajah se.”
✦ RasoolAllah ﷺ se Nazdeeqi ka sabab :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Jabir (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Qayamat ke din mere Nazdeeq tum me se sab se zyada mehboob aur qareeb baitne waley log wo hongey jo behtreen Akhlaaq waley hain.”
♥ In Sha Allah-Ul-Azeez !!!
– Allah Rabbul Izzat Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey!
– Humey Ba-adab Aur Ba-Akhlaaq Banaye!!
– Aur Sunnat-e-Rasool Ke Mutabik Hum’me aur Humari Naslo me Husn-e-Akhlaaq paida karne ki taufiq dey!!
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
– Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Recent Posts
Ilm Ki Ahmiyat: Part-13
807,861
बेहतरीन औ़रत और बद्तरीन औ़रत
1,378
जो ATS ना कर सकी वो मीडिया ने कर दिखाया | आतंकवाद के इलज़ाम में बेगुनाह मुसलमानों को फसाया
807,212
ईद की नमाज का तरीका: Eid ki Namaz ka tarika | How to Pray Eid Prayer in Hindi
2,533
Jis Ne Apni Maal Ki Zakaat Ada Kar Dee ….
807,184
Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda wo hai jo badla lene ki Quwwat ke bawajud Muaf kar de
808,072
Musibat me Khair ki Dua [Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon]
807,847
Sunnat aur Nawafil Namazein Ghar me Padhne ki Fazilat
807,669
Halala ka Nikah karne wale ka Gunaah (Halala karne wale par Allah ki Lanat)
807,983
Coronavirus se bachne ki Dua | कोरोना वाइरस और हर बीमारी से बचने की दुआ।
Supplication / Dua for Protection From Coronavirus
8,711
Hadith: Gareebo se muhabbat karo aur un ke saath baitha karo
807,514
Zakaat Ka Bayan Quraan Aur Hadees Ki Roushni Me !! …
807,205
Tum Ko Kis Cheez Ne Jahannum Me Dala? ….
807,200
नबी ﷺ के दौर में औ़रतों का फ़रमाने नबवी की ताबेदारी करना।
1,475
Fazail-e-Quraan: Part 3
807,623
2
3
…
172
Next